Saturday, July 25, 2009

sochane laga yeh...

kal raat kamare main gaya to baithe-baithe kursi par sochane laga yeh...
bistar ki chadar main pehle jaisi shilwathe nahi padati
tumhare toothe hue baal bhi kahi bistar par ab naazar nahi aate
takiye par tumhari lipistic ke nishaan bighad chuke hain
ab takiya tumhare baalon ke tapakte hue pani se bhigata bhi nahi
maize par rakha hua tumhara chashama kahin dekhaiye nahi deta ab
jug main ab koiye pani bhar ke bistar ke sirahane nahi rakhata
kaiye din se kitabon par dhul jama hue hain, ab koiye in kitabon ke panne palatata bhi nahi
kal raat kamare main gaya to baithe-baithe kursi par sochane laga yeh...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, July 24, 2009

uski tarah kya bichadata hai koi?

log melon ja kar bhi nahi bhoolte hai apno ko

uski tarah kya bichadata hai koi?

_____

khafa rahe woh mujhse koi gila nahi

kabhi-kabhi nazre to mila sakti hai...

uski tarah kya nazre fher lrta hai koi?

_____

hawaa bhi darwaza dhakel kar ghar mein ghus aati hai

kabhi tum bhi hawaa ki tarah ghar mein aa jaya karo

kya itna bhi haq apno par rakhta nahi koi?

_____

subah hote hi chiraiyaa aakar baith gai mere ghar ki munderi par

main door sadak tak tumhara rastha dekhta raha

fir Rab se bola kya apne ghar ka rasta bhool jata hai koi?

_____

ek pareshani rehti hai

uljha rehta hu is baat mein

aakhir kya wajah thi judai ki

"usne kahan tha...

daulat aur jism do hi cheez hai is duniya mein"

aao fir se soch kar dekhe

shayad isse behtar wajah ho koi?

_____

log melon ja kar bhi nahi bhoolate hai apno ko

uski tarah kya bichadata hai koi?

[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, July 23, 2009

waqt ki gehraiyoon main

waqt ki gehraiyoon main tumko yaad rakhe hua main

jaise koiye kitabon main zindagi ko qaid karta hua...

~*~

yaad aata hain woh beeta hua subah-shaam ka mausam

jab tum titliyoon ke peeche bhagha karti thi...

woh tumhare paaoon ke nishan ab tak un gheeli mitti par pade hue hain

jisme main tumko subah-shaam dhundhata hua...

~*~

pehle tumhare khat aate rehte the

in saanson ko jaise koiye raahat mil jaya karti thi

un khaton ko main seene se laga laita tha

raat main sote hue un khaaton ko apne jism main chupa laita tha

jaise koiye moor pankhon ko kitaboon main chupa laita hain

ab to bahut din hue taire khatoon ko mile hue

aaj bhi wahi pyar ka ehsaas main talasta hua...

~*~

ek arsha hua tumhari aawaz ko sune hue

tera woh khil-khila kar baatein karna

woh dheemhe se aansoon ko gira dena

bahut din beeth gaye

teri aawaaz ki boondon main bheegha nahi hu main

aaj bhi un boondon ko mehsus karta hua...

~*~

waqt ki gehraiyoon main tumko yaad rakhe hua main

jaise koiye kitabon main zindagi ko qaid karta hua...

[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 22, 2009

rone do naaaaaaaaaa

rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
nainoon ko aaj suza laine do naaaaaaa
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa

~*~
kitne khawab the
sab bikhar chuke hain
raat thi jo mohabbat ki
woh guzar chuke hain
aaj jee bhar kar rone do
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
nainoon ko aaj suza laine do naaaaaaa
rone do rone do

rone do naaaaaaaaaa
~*~
tap tap kar gire aansoo
koiye chehara nainoon main basta gaya
udasi basti gaye lamhoon main
sannata basta gaya
fhir naya gum palane do
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
nainoon ko aaj suza laine do naaaaaaa
rone do rone do

rone do naaaaaaaaaa
~*~
saanson ka lipata hua libaas hu
na ab koiye sunta hain
na ab koiye sunata hain
tere khat aate the
do pal baatein ho jaate thi
aaj un beetein khaaton ko jaala laine do
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
nainoon ko aaj suza laine do naaaaaaa
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa

[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 21, 2009

yeh zindagi aapki ho jayegi...

dil main hausala rakheiye
haawan main pankh fhela kar uda kejeiye
aankhon main khawab baasa lejeiye
yeh zindagi aapki ho jayegi...
^^^
yaadon main jo naam aata hain
dhadkhano main jo bas jaata hain
uska haath tham lejeiye
yeh zindagi aapki ho jayegi...
^^^
hoonton par koiye geet saaja lo
muskiloon se tum daaron nahi
haar main bhi muskura lejeiye
yeh zindagi aapki ho jayegi...
^^^
tarap kar girate hain jab judai ki barsaate
tum meethe paalon ki chadar ko odha lo
aankhon main bhar lo khushiya
yeh zindagi aapki ho jayegi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 20, 2009

tera naam lekar...

hum tere shehar main fhir rahe

apni mohabbat ki laash ka bhoj lekar...

kis-kiska darwaza khadkhadaiye

tera naam lekar...

~*~

bhulana tha to yeh ikraar kiya hi kyon tha

dena tha dard to pyar kiya hi kyon tha

na fhair nazare anjaano ki tarah...

hum tere shehar main fhir rahe

apni mohabbat ki laash ka bhoj lekar...

kis-kiska darwaza khadkhadaiye

tera naam lekar...

~*~

shaup kar tujhko hum chale jayenge

fhir na is shehar main kabhi hum aayenge

ek bar to mil le mujhse tu kisi ki amanat ki tarah

hum tere shehar main fhir rahe

apni mohabbat ki laash ka bhoj lekar...

kis-kiska darwaza khadkhadaiye

tera naam lekar...

~*~

yeh aakhiri aarzoo

aakhiri chahat hain meri

taire surat dekho main

kabhi tu dikh ja badalon main chupe chand ki tarah

hum tere shehar main fhir rahe

apni mohabbat ki laash ka bhoj lekar...

kis-kiska darwaza khadkhadaiye

tera naam lekar...

[written by romil arora - copyright reserved]

yakeen...

dil main koiye baat ho to bataya karo

aansoo ko akele mat bahaya karo

yunh to duniya bhar par yakeen karte ho tum

kabhi hum par bhi yakeen kar liya karo!

[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]