Tuesday, July 28, 2009

humne mohabbat karke kya paya....

humne mohabbat karke kya paya
dil jalta raha, dhuaan uthata raha...
*
log to samajhate rahe humko raakh ka putala
magar dil se mohabbat ka bulbula uthata raha...
*
zamane main dekhe kaiye haseen chehare
magar tere deedar ka intezaar karta raha...
*
aate gaye mausam baharon ke tamam
main teri yaadon ke phool, kitabon main rakhata raha...
*
mile hazaron mujhko raah-e-ishq dekhane wale
main sabko khuda haafiz karta raha...
*
humne mohabbat karke kya paya
dil jalta raha, dhuaan uthata raha...

[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 27, 2009

bachpan ke din yaad aate hain...

"Sultan" bachpan ke din yaad aate hain...
jab, maa, apne haaton se upale thapa karti thi...
dhoop main usse sukhati thi...
~~~~~
aksar khane ke samay
mera doston ke saath khelane chale jana
maa, ka fhir peeche
dandhi lekar dhorhate hue aana
woh zor se chilla kar kehna...
"kamine, marjaane" roti to kha le, fhir khelate-marate rehna"
"Sultan" bachpan ke din yaad aate hain...
~~~~~
Suraj roz subah haste-khelate hamare ghar aa jata tha
main charpaiye par chaadar oodha kar soya-laita rehta tha
maa ka sir par haath fher ka mujhe uthana
woh pyar se kehna...
"suraj-ghar aaya hain
suraj-ghar aaya hain
dekho kitni roshani
dekho kitni khushiya laaya hain
suraj-ghar aaya hain
suraj-ghar aaya hain"
"Sultan" bachpan ke din yaad aate hain...
~~~~~

Raat ko jab aangan main chulha jala karta tha
hum sab zameen par chulha gher kar roti khate the
maa ka pyar se nange-nange pairon main
garam chimta mujhe lagana
aur dhantate hue kehna...
"din bhar nange-nange paioon ghumate rehte ho
in pairon ko jala dungi"
"Sultan" bachpan ke din yaad aate hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

kyon nahi...

"romil" ab koi sanam, koi mehboob bhi nahi

woh mohabbat bhi nahi

fir bhi dil mein sukoon kyon nahi...

*****

ab logon se baatein

woh guftugu bhi nahi

fir bhi soch se mann ubhara kyon nahi...

*****

aankhon mein na kisi ka chehra

woh khawab bhi nahi

fir bhi aankhon mein neend aati kyon nahi...

*****

ab na milan ki tadap

woh rooh mein kashish bhi nahi

fir bhi yeh intezar khatam hota kyon nahi...

*****

"romil" shayad mohabbat isi ka naam hai

woh zamane ko chhod kar pass mere aaye

yeh mumkin bhi nahi...

yeh mumkin bhi nahi...

[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 25, 2009

humtum....

bichadana hota to kaiye baar
na mile hote humtum...
*
thokhare kha-kha
to shayad chalana sheekhe hain humtum...
*
yaadon main aansoon to bahaye hain kaiye baar
tabhi to pak ho gaye hain humtum...
*
patharon ko khuda banate hue dekha hain kaiye baar
yaar ki tasveer ko khuda bana baithe hain humtum...
*
waise to sabne suni hogi mohabbat ki dastan kaiye baar
dhul jam jaane se kitab ke panne to nahi badala karte
hain mohabbat wahi, magar naye hain humtum....
dheere-dheere sheekh jayenge.........
[written by romil arora - copyright reserved]

sochane laga yeh...

kal raat kamare main gaya to baithe-baithe kursi par sochane laga yeh...
bistar ki chadar main pehle jaisi shilwathe nahi padati
tumhare toothe hue baal bhi kahi bistar par ab naazar nahi aate
takiye par tumhari lipistic ke nishaan bighad chuke hain
ab takiya tumhare baalon ke tapakte hue pani se bhigata bhi nahi
maize par rakha hua tumhara chashama kahin dekhaiye nahi deta ab
jug main ab koiye pani bhar ke bistar ke sirahane nahi rakhata
kaiye din se kitabon par dhul jama hue hain, ab koiye in kitabon ke panne palatata bhi nahi
kal raat kamare main gaya to baithe-baithe kursi par sochane laga yeh...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, July 24, 2009

uski tarah kya bichadata hai koi?

log melon ja kar bhi nahi bhoolte hai apno ko

uski tarah kya bichadata hai koi?

_____

khafa rahe woh mujhse koi gila nahi

kabhi-kabhi nazre to mila sakti hai...

uski tarah kya nazre fher lrta hai koi?

_____

hawaa bhi darwaza dhakel kar ghar mein ghus aati hai

kabhi tum bhi hawaa ki tarah ghar mein aa jaya karo

kya itna bhi haq apno par rakhta nahi koi?

_____

subah hote hi chiraiyaa aakar baith gai mere ghar ki munderi par

main door sadak tak tumhara rastha dekhta raha

fir Rab se bola kya apne ghar ka rasta bhool jata hai koi?

_____

ek pareshani rehti hai

uljha rehta hu is baat mein

aakhir kya wajah thi judai ki

"usne kahan tha...

daulat aur jism do hi cheez hai is duniya mein"

aao fir se soch kar dekhe

shayad isse behtar wajah ho koi?

_____

log melon ja kar bhi nahi bhoolate hai apno ko

uski tarah kya bichadata hai koi?

[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, July 23, 2009

waqt ki gehraiyoon main

waqt ki gehraiyoon main tumko yaad rakhe hua main

jaise koiye kitabon main zindagi ko qaid karta hua...

~*~

yaad aata hain woh beeta hua subah-shaam ka mausam

jab tum titliyoon ke peeche bhagha karti thi...

woh tumhare paaoon ke nishan ab tak un gheeli mitti par pade hue hain

jisme main tumko subah-shaam dhundhata hua...

~*~

pehle tumhare khat aate rehte the

in saanson ko jaise koiye raahat mil jaya karti thi

un khaton ko main seene se laga laita tha

raat main sote hue un khaaton ko apne jism main chupa laita tha

jaise koiye moor pankhon ko kitaboon main chupa laita hain

ab to bahut din hue taire khatoon ko mile hue

aaj bhi wahi pyar ka ehsaas main talasta hua...

~*~

ek arsha hua tumhari aawaz ko sune hue

tera woh khil-khila kar baatein karna

woh dheemhe se aansoon ko gira dena

bahut din beeth gaye

teri aawaaz ki boondon main bheegha nahi hu main

aaj bhi un boondon ko mehsus karta hua...

~*~

waqt ki gehraiyoon main tumko yaad rakhe hua main

jaise koiye kitabon main zindagi ko qaid karta hua...

[written by romil arora - copyright reserved]