Thursday, December 31, 2009

beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...

beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah
naadi main khada hokar
pyaasa main rahaa
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
kehne ko to mujhe ishq hain usse ab bhi
woh ho gaya hain bewafa
zamane ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
main to jagata raha intezaar main uske
usne apni neendon ka sauda kar liya
gairon ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
main bunta raha aashiana uski khushiyoon ke liye 
woh meri barbaadi main shaamil raha
mere apno ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
hum angaaron par chalte rahe unka naam lekar 
unhone baaharon ka rukh kar liya
anjaano ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
dil to kehna hain fanaa ho jaye unke liye
magar woh mere jaanaze par bhi nahi aayega
dushmano ki tarah
naadi main khada hokar
pyaasa main raha...
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
[written by romil arora - copyright reserved]

ishq ke din ajeeb hote hain

ishq ke din ajeeb hote hai
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
mehboob ko khuda samajhate hai
khud mein hi khoye-khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
aaine se karte hain baatein
raat bhar khawabon mein khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
band kamron mein chup-chup kar ro laite hai
mehfilon se durr rehta hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
jab tak na lage thokar bewafai main
baade naaz se ishq ka naam liye fhirate hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
mehboob ko khuda samajhate hai
khud mein hi khoye-khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sajdaaaaaaaaaaaaa....

Rom-Rom tera naam pukare
Ek hue din rehen hamare
Hum se hum hi cheen gaye
Jab se dekhe nain diwane
Sajdaaaaaaaaaaaaa....
***
Teri kaali ankhiyoon se jind meri jaage
Dhadkan se tej daudun, sapno se aagey
Ab jaan lutt jaaye, ye jahaan chhut jaaye
Sang pyaar rahe, main rahun na rahun.
Sajda tera sajda, tere rehan taru na chain karoon
Sajda tera sajda, tere vaar taru meri jaan lutt doon.
***
Ab jaan lutt jaaye, ye jahaan chhut jaaye
Sang pyar rahe, main rahun na rahun
Sajda tera sajda, tere nain taru na hi pair taru
Sajda tera sajda, main to maan taru, meri jaan hain tu.
***
Ranjhana naino ke teer chal gaye
Sajna saanson se dil sil gaye
Palkon mein chupa loon, tera sajda karoon
Seenay mein samaa loon, din lain karoon
Palkon mein chupa loon, seenay mein samaa loon
Tere ang ang rang mera bole
Ab jaan lutt jaaye, ye jahaan chhut jaaye
Sang pyaar rahe, main rahun na rahun
Sajda tera sajda, tere nain taru na hi pair taru
Sajda tera sajda, main to maan taru, meri jaan hain tu.
Sajdaaaaaaaaa...
[NOT WRITTEN BY ME - LYRICS OF SAJDA SONG]

Wednesday, December 30, 2009

woh mann se sundar thi...

ab aksar chup-chup kar ro laite hain
jinki muskaan phool kheela daite thi...
ab aksar chup-chap rehti hain
jinki baatein sabko haansa daite thi...
***
uska udas chehara to dekho
hooton main thehari haansi to dekho
pass se guzare to haawan bhi nahi udati hain
jiski mehak, gulsan mehka daite thi...
***
aansoo ka jo suru hua hain silsila girane ka thamta nahi hain
woh roote hue ke hoonton par muskaan saaja daite thi...
andheroon main rehti hain roshani main aati nahi hain
jo subah ka suraj hua karti thi...
khuda ka itna sitam kisi par maine dekha nahi hain
ab kya kahe uski baatein
woh mann se sundar thi...
woh mann se sundar thi...
[written by romil arora - copyright reserved]

raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...


~*~
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye
hum khawabon main tere kareeb hokar chale aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
chod aaye apna dil tere pehlu main
teri mehak apne saath le aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
yunh to tha main ek pathar ki bani hue murat
tumne chua to mom ho aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
humne har baar khuda se yahi manga tha
jab bhi unke kareeb hum jaye
tab barsaat aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
mujhse puche mera zameer
jab nahi tha woh tera, fhir kyon uske kareeb ho aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye
hum khawabon main tere kareeb hokar chale aaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, December 29, 2009

yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main...


yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
sab sunate hain mooh ki baatein
koiye na jaane kya beeta hain mere saath main...
***
yunhi fhirta rehta hu...
***
raaton ko utha-utha kar darwaze par baith jaata hu main
lagta hain jaise chand se utar raha hain woh...
sadiyoon-sadiyoon yunhi khojata hua
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
***
woh mera aaina uski parchaiye hu main
ek hi kamre main qaid rehte hain dono
kabhi main kehta, sunti hain woh
kabhi woh kehti, sunta hu main...
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
***
ghantoon baitha rehta saagar kinare main
logon ko aate-jaate dekhata raha
tum nahi aaye milane mujhse
sadiyoon khamoosh gumsum sa raha main...
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
[written by romil arora - copyright reserved]

AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...

TUM BHI BAAWRE BAN JAYOGE
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
***
INTEZAR MEIN ZINDAGI BITAOGE
TANHAI MEIN RAATEIN BITAOGE.
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
***
AAINA SE KAROGE BAATEIN
CHAND-TAARON KO APNA DOST BANAOGE.
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
***
RAASTE KO HUMSAFAR BANAOGE
DAIR SE GHAR AAYOGE.
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
***
HAR BAAT GAWARA KA LOGE
PAGAL KEHLAOGE
TUM BHI BAAWRE BAN JAYOGE
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
[written by romil arora - copyright reserved]