Wednesday, January 13, 2010

zindagi ke safar main chalte hain...

na jeete hain aur na marate hain
hum to bas zindagi ke safar main chalte hain...
***
tere baaton main khoya-khoya sa din betata hain
tere khaton ko kabhi padh kar haste hain
kabhi rote hain....
***
na fikar hain humko apni
na zamane ki fikar hum karte hain
khawabon main jeete hain
khawabon main marate hain...
***
kaun hain apna
kaun hain paraya
yeh sab beekar ki baatein hain
jo kehta hain salam usko salam keh daite hain
jo kehta hain khuda hafiz usko khuda hafiz keh daite hain...
na jeete hain aur na marate hain
hum to bas zindagi ke safar main chalte hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...

USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE
DIL ZAKHM KHATA GAYA UNKA SUKRIYA KEHTE HUE
USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...
***
HUM JANTE NAHI THE ANJAAM-E-MOHABBAT YEH HOGA
AANKHON SE LAHOO GIRATE GAYE UNKA SUKRIYA KEHTE HUE
USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...
***
UMAR BHAR SAATH DENE KI QASME KHANE WALE
DO KADAM SAATH BHI CHAL NA SAKE
HUM TANHA CHALTE GAYE UNKA SUKRIYA KEHTE HUE
USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...
***
GHUM KI DUNIYA MEIN WOH HUMKO CHHOD KAR
SAATH GAIR KE CHAL DIYE APNI KHUSHIYON KE LIYE
HUM ROZ JEETE-MARTE GAYE UNKA SUKRIYA KEHTE HUE
USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Tuesday, January 12, 2010

is saal...

is saal uski yaadon se bahut sataya
bahut rulaya
bahut tarfhaya
aankhon se girate rahe aansoo
khushi ka ek bhi pal na aaya.
is saal...
***
puchate rahe log haal-e-dil mera
kisi se magar yeh dil kuch keh na paya.
is saal...
***
kasoor kiska tha
mera ya
uska
yeh dil abhi tak samaj na paya.
is saal uski yaadon se bahut sataya
bahut rulaya
bahut tarfhaya
[written by romil arora - copyright reserved]

socho tumko kya karna hain...

socho tumko kya karna hain
highschool ki age main highschool pass karna hain
ya fhir 50 ki age main highschool pass karna hain.
socho tumko kya karna hain...
***
vibhishan ban kar rama ko pana hain
ya fhir raavan ban kar rama ko pana hain.
socho tumko kya karna hain...
***
roz-roz padh kar har test, exam main pass hona hain
ya fhir final exam main padh kar pass hona hain.
socho tumko kya karna hain...
***
sudama ban kar krishna ko pana hain
ya fhir kaansh ban kar krishna ko pana hain.
socho tumko kya karna hain...
***
rama-rama keh kar rama ko pana hain
ya maara-maara keh kar rama ko pana hain.
socho tumko kya karna hain...
***
mann se ishwar ka naam lena hain
ya fhir be-mann ishwar ka naam lena hain
socho tumko kya karna hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, January 11, 2010

Woh bata kar jaata to aacha hota...

Woh bata kar jaata to aacha hota
Hum intezaar mein raatein na bitate to aacha hota...
*
Yunh hi na jalta rehta diya meri dehlez par
Woh bhujha kar jaata to aacha hota...
*
Mere zakhmo ko nasur bana diya haawao ne
Woh haawao ko samjha kar jaata to aacha hota...
*
Duniya wale na kehte mujhe pagal
Agar woh mera saath nibha kar duniya se jaata to aacha hota...
[written by romil arora - copyright reserved]

mann mein sharaddha bhar le...

woh pooja bhi kaisi pooja
jisme sharaddha na hoye
baade-baade mandir mein
bhakt na aaye koi...
***
roz-roz japta rahe ram ka naam
par ram ka darshan na hoye
mara-mara keh kar bhi likh di ramayan
valmiki ki sharaddha aisi hoye...
***
bin mandir bhi ghanshyam dekhe
meera thi aisi diwani.

bin aakhiyan ke krishna dikhe
surdas ke mann ki aankhen suhani.

bin guru-darshan hi dhanudhar bane
aklavya ki bhakti nirali.

mann mein sharaddha bhar le
prem-pooja ki yahi hai nishani...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, January 9, 2010

waafadar se bewafai karna galat hota hain...


waafadar se bewafai karna galat hota hain
is zamane main bahut kaam ke pass waafa ka hunar hota hain...
***
khushi to dikhati hain roshani ke maakano main
gum ka bhi apna aashiana hota hain...
***
yunh to bik jaate hain har rishtee is zamane main
magar kahan daulat se mohabbat ka sauda hota hain...
***
kehte hain zamane wale usko paagal
kahan sabko mohabbat ka rog pata hota hain...
***
tanha rehna to uska muqaddar hain
mehfilon se kahan dil ka behalna hota hain...
***
chod kar chal diya woh saath sabka
intezaar ka aakhir yahi sila hota hain...
[written by romil arora - copyright reserved]