Wednesday, March 31, 2010

na karo meri charcha

na karo meri charcha
main tamasha to nahi...
aashiq hu aashiq
koi pagal to nahi...
***
maut ko apne gale laga lu
zindagi se samjhauta kar lu
itna main bujhdil to nahi...
***
dekhte-dekhte dil ki dhadkan ruk jaati hai
apne hi apno ke qaatil hai
koi paraya to nahi...
***
kya kasoor tha uska Romil
jo woh mohabbat kar baitha
woh bhi insaan tha
Rab to nahi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Rabb kare...

Rabb kare main sab kuch bhool jayun
Na yaad rakhu is jaahan ko
Na kabhi apna pata yaad rakh payun...
***
Yaadein hain ya fhir meri maut ki wajah
Marr bhi jayun magar
Yaar ki gali kabhi na jayun...
***
Zinda rahu main chahe lawaris ki tarah umar bhar
Zindagi main koiye bhi rishta na payun...
[written by Romil Arora - copyright reserved] 

O mere sapanon ke saudagar,

O mere sapanon ke saudagar,
O mere sapanon ke saudagar,
tujhko mujhse hain pyar agar
to chal mere sang chal, chal mere sang aa aur mere sang gaa...
***
O mere sapanon ke saudagar, mujhe aisi jagah lejaao
main chahati hu, mere humasafar mujhe pariyon ki duniyaan dikhaa
pyar hi pyar ho jis jagah, mujhe aaisa jahaan dikhaan...
***
Yeh pariyon ki basti, sitaron ka majamaa
yahaan goonjataa hai, mohabbat ka nagma
yahaan pyar ke hain diwane sabhi, chahat hi sab kuch yahaan
***
Pariyon ki duniyaan ke mehumaan ho, chalo tum ko sair karaye
kahaa hain wo sapanon kaa saudaagar, chalo hum use dhoondh laaye
***
Chandaa ke rath pe woh aayegaa ek din
mujhe saath leke woh jaayega ek din
mere maang bhar dega taaron se woh, banayega dulhan mujhe...
[NOT WRITTEN BY ME]

Tuesday, March 30, 2010

Haavas ki chahat main...

Haavas ki chahat main jism jal jaata hain
Bhare hue ghar main insaan tanha nazar aata hain...
***
Mohabbat ke naam par mann ka sauda karte hain
Yahaan badan rupiyoon main lipata nazar aata hain... 
***
Kyon karte ho jannat ki aarzoo Romil
Pathar main bhi Rabb nazar aata hain...
***
Fhirte rehte ho tum shehar ki beedh main Romil
Naaqab main kahan chehara nazar aata hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Kisi ki karo izzat to aabru loot lete hai...

Kisi ki karo izzat to aabru loot lete hai
Is be-reham duniya mein kya-kya nahi hota hai...
***
Dil chahata hai ki bhari mehfil ke saamne usse bewafai ki wajah puchu
Hausala karta hu, lekin hausala nahi hota hai...
***
Mujhpar woh lagata tha bachpan ki dosti mein khoye rehne ka ilzaam
Khud gair ki baahon mein sota hai to bewafai ka use elam nahi hota hai...
***
Socha tha mere andhere jeevan ko roshan karega
Dil jala diya... ab chirag par bharosa nahi hota hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, March 29, 2010

असफल इंसान जब सफलता के बातें बताते हैं तो कभी - कभी ऐसा लगता हैं....


MANAGEMENT MASTI MAIN...

असफल इंसान जब सफलता के बातें बताते हैं तो कभी - कभी ऐसा लगता हैं की जैसे कोइए नीम हकीम, कैंसर बीमारी का उपचार बता रहा हो!

बचत करके खर्चा करना आसान होता हैं

MANAGEMENT MASTI MAIN!

बचत करके खर्चा करना आसान होता हैं, जबकि वेतन खर्चा करके बचत करना मुश्किल होता हैं! इसलिए पहले बचत करे!

Saving karne ka sabse aasan tarika hain hain... Aapki income chahe jo bhi ho, yeh baat important nahi daite, IMPORTANT DETI HAIN AAPKI SAVING KI AADAT...

Thoda example dekar samjhane ki koshish karunga...

Aapki income Rs. 3000/- per month hain...
Aap decide karlo ki aapko per month kitni saving karni hain... Chalo yeh baat maan laite hain ki aapko 10% saving karni hain... yani Rs. 300/- per month...
Is hisaab se ab aapki income Rs. 2,700/- per month hue...
Rs. 2,700/- ko dhyan main rakh kar apna monthly budget banaye... Aap aur aapka parivar yeh soch le ki monthly income Rs. 2,700/- hain aur isme aapko apna monthly budget banana hain...
Is tarah aap per month Rs. 300/- ki saving kar payenge...

Agar aap full income Rs. 3,000/- expenditure kar doge to fhir kaise saving kar payoge baba???
Ya yeh kahe ki Rs. 3,000/- ka monthly budget banate ho to kisi month main aap Rs. 100/- ki saving kar payoge aur kisi month main Rs. 250/- ki aur kisi month main ZERO ki... Kyunki family budget bahut hi jyada diversified hota hain... Ishthiti har month ki alag-alag hoti hain... Is month main aapko baache ki fees daine hoti hain, kisi month main birthday hota hain, kisi month main festival hota hain to fhir kisi month main koiye relative aapke ghar aa jata hain...

Yaad rakhe...
Pehle bachat kare, fhir expenditure kare...