Wednesday, July 31, 2013

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye
khuda, khud mandir se nikal kar aaye
poche kisi majdoor ka pasina apne haaton se
kisi bhookhe ko apne haaton se roti khilaye

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

kare sadak par pade bade-buddhon ki khidmat
garib bacchon ko khilauno se khilaye

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

bichaye fool kisi footpath par majdoor ke sone ke liye
kisi garib ka bhujha hua chulaha jalaye

kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

pehnaye kapde kisi bebas insaan ke tan par
kisi garib ki jhopadi ka chappar lagaye

Romil, kaash kisi roz meri nazaron ke samne yeh vakya ho jaye

Tuesday, July 30, 2013

apne yaar ke liye.

payal ki halki si jhankar ke liye
woh vilayat chhod aaya goan, apne yaar ke liye.

uski daulat saari dhari ki dhari reh gai
fakeer ne thukra di uski mohabbat, apne sanam-apne pyar ke liye.

khali waqton mein woh baith kar kahi sochati hogi
kaash main bhi apno se lad gai hoti, apne bachpan ke yaar ke liye. 

aur

dushman se woh takra jata hai sher ki tarah Romil
bas zamane ke samne juban band ho jaati hai uski, apne bewafa yaar ke liye.

aur

fhook dunga kisi roz main khuda tujhe
sach keh raha hoon
fhook dunga kisi roz main khuda tujhe
itna mat sata garibon ko, majburon ko, bebason ko apni hukumat ke liye.

Saturday, July 27, 2013

Bhukh se marna shauk nahi hum garibon ka, majboori hai

Bhukh se marna shauk nahi hum garibon ka, majboori hai Romil,
O Siyasat walon woh jagah bata do jahan paanch rupiya mein khana milta hai.

aur

majboor buddhi aankhein mandir ke samne khadi soch rahi hai
itna dudh, itna fhal, itni kheer ek bhagwan ko khane ke liye milta hai.

aur

Aligarh ki yeh galiyan, ramzan ke din, azan, namaz aur tum romil
har kisi ko kahan aisa manzar milta hai.

#Romil

भूख से मरना शौक़ नहीं है हम गरीबों का, मज़बूरी है रोमिल,
ओ सियासत वालों वो जगह बता दो जहाँ पाँच रुपिया में खाना मिलता है...

और

मजबूर बूढ़ी आँखें मंदिर के सामने खड़ी सोच रही है...
इतना दूध, इतने फल, इतनी खीर एक भगवान को खाने के लिए मिलता है...

और

अलीगढ़ की यह गालियां, रमज़ान के दिन,
अजान, नमाज़ और तुम रोमिल
हर किसी को कहाँ ऐसा मंज़र मिलता है...

#रोमिल

Friday, July 26, 2013

Main kaise samjhau zamane ko ki main usko bhool gaya hoon

Main kaise samjhau zamane ko ki main usko bhool gaya hoon
Sacchi baton ke liye saboot ki jarurat nahi hoti.

Chehara par udasi, yeh to chehare ki banawat hi aisi hai
Har udasi ke peeche wajah nahi hoti.

aur

Mayke main aakar beti sasural ke gun gaye, muskuraye
Maa-Baap ke liye isse badi jannat nahi hoti.

Beta-Bahu, chhod kar vilayat ki naukari goan mein maa-baap ke saath reh rahe hai
Khuda, har parivar mein itni mohabbat nahi hoti.

Woh subah-shaam naukari karke, maa-baap ko paal rahi hai, ghar chala rahi hai
Romil, Har kisi ke naseeb mein aisi beti nahi hoti.

Wednesday, July 24, 2013

Main garib hoon, footpaton pe bicha kar bhagwano ki tasveerein baich leta hoon

Main garib hoon, footpaton pe bicha kar bhagwano ki tasveerein baich leta hoon
Mujhe kya wasta Baishkeemati Mandiron mein kaun-kaun rehta hai.

Bacchein bhi pal bhar mein samajh jaate hai amiri-garibi ka fark
Na Jaane masumo mein kyon yeh hunar rehta hai.

Nahi sunta hai meri, to masoom bacchon ki sun le khuda
Suna hai maine bacchon mein paigambar, farista rehta hai.

aur

Mat toodh khandar samajh kar is makaan ko
Is makaan mein ek chidiyon ka khandan rehta hai.

aur

Woh pagal, pardesh ki jannatein chhod kar aa gaya
Kehta hai Romil, goan mein uska purana dost rehta hai.

Tuesday, July 23, 2013

kaun jaane kab is duniya se ruksat ho jaye hum

kaun jaane kab is duniya se ruksat ho jaye hum
mitti se bane hai, mitti mein mil jaye hum

kabhi sunaye de mere kamre mein teri payal ki khankhan
koi chedon aisa madhur raag ki sunhera geet ho jaye hum

tu agar aasman mein bulaye, tab bhi hum chale aaye
dooriyon ki wajah se rishta nahi todate hai hum

aur

yeh patiyala suit, gotedaar dupatta
lambi si choti, pairon mein amritsari jutta 
Romil, meri gair-hazari mein tum itna saj-o-sawaron itni ijazat nahi dete hai hum.