Sunday, February 28, 2010

RANGON ka din bhi suna-suna sa ho gaya...

RANGON ka din bhi suna-suna sa ho gaya
teri berukhi mein, main kya se kya ho gaya...
***
Zindagi se kuch RANG chura liye teri bewafai ne
kuch meri waafa ka RANG bhi udd gaya...
***
Andhere sa RANG chahaya hai charaon taraf
Asha ka RANG jo fhela tha woh bhi udd gaya...
***
Kahan gaya baaghichon ka RANG Romil
Aisa lagta hai phoolon par jo rang tha udd gaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

Kaisi Hai Yeh Udaasi Chhaayi Mere Dil...


Kaisi Hai Yeh Udaasi Chhaayi Mere Dil
Kaisi Gehari Hai Yeh Tanhaayi Mere Dil
Raahon Mein Yaadon Ki Khaamoshi Barse
Aankhon Mein Jo Ghum Hai Aansu Ko Tarase
Yeh Bata Yeh Kyun Huwa
Bujh Gaya Kyun Har Diya
Kaisi Hai Yeh Udaasi Chhaayi Mere Dil
***
Ho Jo Bhi Mila Woh Kho Gaya
Tujhako Pata Hai, Aisa Hi Sada Hota Hai
Jaana Hi Tha Woh Jo Gaya
Dil Tu Akela Aise Kyun Bhala Rota Hai
Bhule Jo Hai Tujhako Abb Unako Bhul Ja Tu Bhi
Warna Mere Saath Yaadon Ke Jakhm Kha Tu Bhi
Maan Ja Ai Dil Mere, Bhul Ja Shikawe Gile
Kaisi Hai Yeh Udaasi Chhaayi
***
Ho Tu Hi Bata Ai Dil Mere
Maine Toh Hamesha Tera Hi Kaha Maana Hai
Kyun Hai Mujhe Yeh Ghum Ghere
Mujhe Umrr Bhar Kya Bas Yahin Saja Paana Hai
Sapane Boye Maine Aur Dard Maine Hai Kaante
Gaaye Geet Maine Aur Paaye Maine Sannaate
Aaraju Na Kam Hai, Suni Si Har Shaam Hai
Kaisi Hai Yeh Udaasi Chhaayi Mere Dil
Kaisi Gehari Hai Yeh Tanhaayi!
[NOT WRITTEN BY ME]

Saturday, February 27, 2010

Aa NAAZ..mujhe dosti ke rang se nehla de...

Dosti ke rang se saji tasveer ho tum
Meri NAAZ... meri sabse keemati jageer ho tum!
*****
NAAZ...Chota sa gulal ka teeka main tujko lagau
Apne haaton se tujhko gujiya khelau
Karu phoolon ki barkha
Haaton main dosti ki mehandi lagau!
****
NAAZ... Aa mere haanton ka sunapan meta de
Aa mere haanton ko bhi rangon main bheegho de
Sadiya beet gaye hain Holi khele hue
Aa NAAZ..mujhe dosti ke rang se nehla de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tere-Meri prem-preet amar kar jaye...

Bolo Radhe...
Tumko kaun sa rang lagau...
Kis rang se karu aaj tumhara singhar...
Kis rang se aaj teri maang sajau...
Kis rang se tere sang holi manau...
Bolo Radhe...
*______*
Mere Shyam...
Yeh gulal to kuch pal mein utar jayega...
Yeh rang to keval sharir ko rang payega...
Kuch aisi kar prem-rang-baarish
jo mann ko rang jaye
Tere-Meri prem-preet amar kar jaye...
Mere Shyam...
[written by romil arora - copyright reserved]

thoda sa gulal rakhana...

~AARZOO HAIN~
*
rangon ke tyohar main tum mujhko yaad rakhana...
thoda ka gulal tum mere naam rakhana...
***
khush rehna harpal, hoonton par muskaan rakhana... 
kabhi-kabhi apne laboon main mera naam rakhana...
***
jo kabhi nazar aa gaya tu apne jeevansaathi ke saath
jhuka ke sar apna tere samne se chala jayunga, itna aitbaar rakhana...
***
nahi chahat hain mujhe ab rangon ki
fhir bhi aarzoo hain itni mera naam thoda sa gulal rakhana...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, February 25, 2010

Zinda hoke bhi rishtee nibhate hain log kahan...

Zinda hoke bhi rishtee nibhate hain log kahan
NAAZ, tune to marr kar bhi preet amar kar di!
***
Haazaron janam ke baad bhi kahan milta hain khuda 
NAAZ, tune apne prem se mere sharadda amar kar di!
***
Ab nahi chahiye mujhe kuch bhi is jahaan se
NAAZ, tune apne saath se zindagi amar kar di!
[written by romil arora - copyright reserved]

Allah ka karam rahe

Woh kehta hai, haraam ki roti se
Ghar mein mere fhakha lakh guna aacha hai...
Allah ka karam rahe!
*
Nahi hai uske pass koi mehal
Woh apni tooti jhopadi mein shehansha ki tarah rehta hai...
Allah ka karam rahe!
*
Nahi karta kisi shaitan ki bandagi
Woh Allah ka banda bana rehta hai...
Allah ka karam rahe!
*
Nahi chahiye use duniya ki shaan-o-shauqat
Woh Allah hi mehfil mein badshah bana rehta hai...
Allah ka karam rahe!
[written by romil arora - copyright reserved]

log kehte hain main devdas bana fhirta hu!

hoonton par haansi
dil main gum liye fhirta hu
log kehte hain main devdas bana fhirta hu!
***
paaro (NAAZ) ko
har chandramukhi main dhundhata fhirta hu
log kehte hain main devdas bana fhirta hu!
***
bachpan ki yaadein
paaro (NAAZ) ki baatein yaad kiya karta hu
log kehte hain main devdas bana fhirta hu!
***
hu naashe main,
mujhe hosh nahi
main yaadon ka har pal jaam piya karta hu
log kehte hain main devdas bana fhirta hu!
[written by romil arora - copyright reserved] 

Wednesday, February 24, 2010

Ab to darta hu kuch bhi kehne se...

Ab to darta hu kuch bhi kehne se
Woh meri baaton par jo muskurate hai...
***
Chehare par hamesha naqaab daale rehte hai
ulfat-e-dooriyaan badate hai...
***
Jab pucho unke baare mein
Khud ko ek ankahi kahaani batate hai...
***
Baada muskil hai usko apna banana Romil
Choti-Choti baaton par to woh jhoot bola karte hai...

#Romil

अब तो डरता हूं कुछ भी कहने से 
वो मेरी बातों पर जो मुस्कुराते हैं... 

चेहरे पर हमेशा नकाब डाले रहते हैं 
उल्फ़त-ए-दूरियां बढ़ाते हैं 

जब पूछो उनके बारे में 
खुद को एक अनकही कहानी बताते हैं... 

बड़ा मुश्किल है उसको अपना बनाना रोमिल 
छोटी-छोटी बातों पर तो वो झूठ बोला करते हैं...

#रोमिल

Aata hain unki har ada par naaz humko...

Aata hai unki har ada par naaz humko
Kis andaaz se badal lete hai woh naam to dekho...
***
Mil jaye kabhi raste mein ajnabi bankar
Badi ada se fher lete hai humse nazre to dekho...
***
Nahi hai woh mera humsafar na humsaaya
Aa jata hai fir bhi khawabon mein to dekho...
***
Nahi jante hum kya hoti hai mohabbat
Yaad aate hi unki, aankhon mein aa jaate hai aansoo to dekho...

#Romil

आता है उनकी हर अदा पर नाज़ हमको 
किस अंदाज से बदल लेते हैं वो नाम तो देखो... 

मिल जाए कभी रास्ते में अजनबी बनकर 
बड़ी अदा से फेर लेते हैं हमसे नज़रे तो देखा... 

नहीं है वो मेरा हमसफ़र, ना हमसाया 
आ जाता है फिर भी ख्वाबों में तो देखा... 

नहीं जानते हम क्या होती है मोहब्बत 
याद आते ही उनकी, आंखों में आ जाते हैं आंसू तो देखो...

#रोमिल

Tuesday, February 23, 2010

apna naam chupa raha koi...

apna naam chhupa raha koi
bewafai par bewafai nibha raha koi...
***
nazar se nazar chura raha koi
fir bhi na jaane kyon har baar nazar aa raha koi...
***
kehne ko to mujhe dilse apna abhi tak kehta hai koi
shayad yeh naya dhoka mujhe de raha koi...
***
Roz, NaaZ se use bhool jaane ki qasam khata hu Romil
yeh qasam baar-baar tudwa raha koi...

#Romil

अपना नाम छुपा रहा कोई 
बेवफाई पर बेवफाई निभा रहा कोई... 

नजर से नजर चुरा रहा कोई 
फिर भी न जाने क्यों हर बार नजर आ रहा कोई... 

कहने को तो मुझे दिल से अपना अभी तक कहता है कोई
शायद यह नया धोखा मुझे दे रहा कोई... 

रोज, नाज़ से उसे भूल जाने की कसम खाता हूं रोमिल 
यह कसम बार-बार तुड़वा रहा कोई... 

#रोमिल

Chirag bhuj gaye hausala na diya...

Chirag bhuj gaye hausala na diya
Haawaon main khula chod diya sahara na diya...
***
Maine kab kahan tha mere haq mein tu bol
Usne to gunehgaar ka saath de diya...
***
Sadiyon main uske naam ki ibadat karta raha
Bewafa ne to apna naam hi badal liya...
***
Itni nafrat ho jayegi apne rishte mein, socha na tha
pass se guzara aur haalchaal tak na liya...

#Romil

चिराग बुझ गए हौसला ना दिया...
हवाओं में खुला छोड़ दिया सहारा ना दिया... 

मैंने कब कहा था मेरे हक़ में तू बोल 
उसने तो गुनहगार का साथ दे दिया... 

सदियों मैं उसके नाम की इबादत करता रहा
बेवफा ने तो अपना नाम ही बदल लिया... 

इतनी नफ़रत हो जाएगी अपने रिश्ते में,
सोचा ना था... 
पास से गुजरा हालचाल तक ना लिया... 

#रोमिल

Monday, February 22, 2010

~ada~

Baadi haseen ada paye hain tumne Romil
Mehfil main hote ho to hans laite ho
Warna chup-chup kar aaina ke samne ro laite ho!
[written by romil arora - copyright reserved]

~DARR~

IS DARR SE USKO BAHUT DURR DAFAN KAR AAYA MAIN ROMIL
KAHI USKI MITTI UDHA KAR MERE GHAR NA CHALI AAYE!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Chhod kar chala gaya...

Chhod kar chala gaya woh jo meri MAA ki aankhon ki roshani tha Romil
Par humse kehte hai kaafir...
ro mat... 
allah ki marzi hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Na jaane kyon yeh barsaat ....

Na jaane kyon yeh barsaat rukane ka naam nahi le rahe Romil
Lagata hain tu kal us aasmaan se ro-ro kar gila kar raha tha!
[written by romil arora-copyright reserved]

Friday, February 19, 2010

sabse bada woh hi bhawanta..

uski karni woh hi jaane
woh hi samjhe
woh hi pehchane...
*
usse bada na koi
sabse uccha ek bhagwant wohi...
*
woh hi mata
woh hi pita
uske siwa jhoota har rishta...
*
kaise rishte
kaise naate
sab hai bas aate-jaate...
*
do pal ki zindagi
maya duniya saari
jhooti shaan na dikha, kar nadani...
***
kaisa krodh
kaisa ahankar
meetha bol...bole sab sansar...
darbaar uske sar jhukao... na kar abhimaan...
*
uski karni woh hi jaane
woh hi samjhe
woh hi pehchane
uske aage bas nahi chalta
sabse bada woh hi bhawanta...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, February 18, 2010

Ya fhir...

Ya to mujhe apni qaid main band le
Ya fhir mujhe riha kar de NAAZ...
***
Ya to mujhe khud main saama le
Ya fhir mujhe aawara kar de NAAZ...
***
Ya to yeh aankhen band kar de
Yar fhir intezaar ke pal mita de NAAZ...
***
Ya to yeh zindagi le le
Ya fhir zindagi ki dua na de NAAZ...
[written by romil arora - copyright reserved]

Rabb janta hain...

Kyon mila mujhe bewafa ka saath Rabb janta hain
Kyon toota mera dil baar-baar Rabb janta hain...
***
Thi to uski baaton main mohabbat
Dil main kyon jehar bhara hua tha, Rabb janta hain...
***
Aankhon main kyon aate hain khawab
Fhir kyon aansoo ke saath beh jaate hain, Rabb janta hain...
***
Intezaar ka pal kyon nahi khatam hota,
Kyon aati hain intezaar-e-shaam, Rabb janta hain...
***
Parwane ko kyon hoti hain shaama se mohabbat,
Kyon parwana shaama main jal jaana chahta hain, Rabb janta hain..
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, February 17, 2010

kash-ma-kash

Baadi ajeeb kash-ma-kash main zindagi beetati hain Romil
Bewafai karo to woh rota hain
Waafa karo to hum rote hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

intezaar~~

Tere intezaar ka chirag kabse dil main jala rakha hain NAAZ
Keh do haawan se aakar mujhe bhujha de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sochata hoga..

Dard daine bhi nahi aata ab woh
Sochata hoga dard se mera rishta judh gaya...
Puchata bhi nahi hain ab mera haalchal kisi se
Sochata hoga judai-e-gum se shayad marr woh gaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, February 16, 2010

KUCH...

Ab manzil ki raah main chalane ko dil nahi karta Romil
Ab aarzoo hain ki khud manzil chal kar hamare kadamo main aaye!
***
Itni Shiddat-e-aadat aachi nahi hoti Romil
Tu to Nafrat bhi karta hain Shiddat ke saath!
***
Baadi zor se udega kisi din duniya ke sab bandhan toodh kar yeh kabutar Romil
Chahe jitna bhi daulat-e-husn se bandh lo uske paaro ko!
[written by romil arora - copyright reserved]

Ab agar woh mujhe mil bhi jaye to kya...

Ab agar woh mujhe mil bhi jaye to kya
Dil mein jo mohabbat ke liye nafrat bhar gai hai uska kya...
***
Ab agar woh mujh par zindagi bhi loota de to kya
Yeh zindagi jo pehle hi loot gai hai uska kya...
***
Ab agar woh keh de tere bina hum jee nahi sakte
Yeh zindagi jo pehle hi marr chuki hai uska kya...
***
Ab agar woh zamana chhod kar mere saath chal pade to kya
Yeh zindagi jo pehle hi zamane ko chhod chuki hai uska kya...

#Romil

अब अगर वह मुझे मिल भी जाए तो क्या 
दिल में जो मोहब्बत के लिए नफरत भर गई है उसका क्या

अब अगर वो मुझ पर जिंदगी भी लुटा दे तो क्या 
यह जिंदगी जो पहले ही लुट गई है उसका क्या 

अब अगर वो कह दे तेरे बिना हम जी नहीं सकते 
यह जिंदगी जो पहले ही मर चुकी है उसका क्या 

अब अगर वो जमाना छोड़कर मेरे साथ चल पड़े तो क्या
यह जिंदगी जो पहले ही जमाने को छोड़ चुकी है उसका क्या

#रोमिल

हर कोइए वफादार नहीं होता..

हर कोइए वफादार नहीं होता
हर सीप में मोती नहीं होता...
हर किसी को मत सुनाया करो अपना हाल-ए-दिल रोमिल
हर कोइए दर्द-ए-साथी नहीं होता...
[written by romil arora - copyright reserved]

MAIN JISSE RISHTA TOODATA HU ...

MAIN JISSE RISHTA TOODATA HU TO TOODH DETA HU
MAIN JISKA SAATH CHODATA HU TO CHHOD DETA HU
HAIN MERI NAFRAT MEIN BHI ITNI IMANDARI ROMIL
MAIN JISSE NAFRAT KARTA HU, POORI SHIDDAT KE SAATH KARTA HU!
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, February 15, 2010

Rab-e-Naaz

Rab mere khawabon ki duniya
teri haqiqat ki duniya se kahi aachi hai...
*
Rab meri Rab-e-Naaz
tere mitti ke khilauno se kahi aachi hai...
*
Rab kya seekhayegi teri kitab mujhe zindagi jeena
Mere Rab-e-Naaz ki hidayat teri kitab se kahi aachi hai... 

#Romil

रब मेरे ख्वाबों की दुनिया 
तेरी हकीकत की दुनिया से कई अच्छी है... 

रब मेरी रब-ए-नाज़ 
तेरे मिट्टी के खिलौने से कई अच्छी है... 

रब क्या सिखाएगा तेरी किताब मुझे जिंदगी जीना 
मेरे रब-ए-नाज़ की हिदायत तेरी किताब से कई अच्छी है...

#रोमिल

nafrat ke aabshaar ban gaye...

Jab-Jab dekha chand ko
Aankhon se girkar aansoo daaman main sitare ban gaye...
***
Aaisa toota hain dil mera
Saagar bheekhar kar katara-katara ban gaye...
***
Jab-Jab kahi humne unki khushi ki baat
Lafz mere khud-ba-khud dua ban gaye...
***
Hum to mohabbat ke aabshaar the Romil
Unse kya mile nafrat ke aabshaar ban gaye...

#Romil

जब-जब देखा चांद को 
आंखों से गिरकर आंसू दामन में सितारे बन गए...

ऐसा टूटा है दिल मेरा 
सागर बिखरकर कतरा-कतरा बन गए...

जब-जब कहीं हमने उनकी खुशी की बात 
लब मेरे खुद-बा-खुद दुआ बन गए...

हम तो मोहब्बत के आबशार थे रोमिल 
उनसे क्या मिले नफरत के आबशार बन गए...

#रोमिल

reham-o-dil nazre

Uski reham-o-dil nazre dekh kar main mud gaya tooti hui jhopadi ki taraf Romil
Jab mere saamne mehfil-e-shehar tha!

#Romil

उसकी रहम-ओ-दिल नज़रे देखकर मैं मुड़ गया टूटी हुई झोपड़ी की तरफ़ रोमिल,
जब मेरे सामने महफ़िल-ए-शहर था!

#रोमिल

~tera naam~

Na kabhi zikr kare tera
Na kabhi tera naam le
Romil, hum bewafai ka usse aaisa intaqaam le...
_________________
Na mile hum kabhi tujhse
Na tu kabhi mile humse
Aaise bhi na juda ho ki dua main na tera naam le...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, February 13, 2010

ADA

USKI EK ADA TO UMAR BHAR YAAD RAHEGI ROMIL
ALVIDA BOLTE SAMAY USKI JUBAN BHI NAHI LADKHADAI THI.

#ROMIL

उसकी एक अदा तो उम्र भर याद रहेगी रोमिल
अलविदा बोलते समय उसकी ज़ुबान भी नहीं लडख़ड़ाई थी.

#रोमिल

~WAQT~

USKI MAUT KI KHABAR SUN KAR BHI AANSOO NAHI AAYE ROMIL
EK WAQT THA USKE DARD PAR BHI RO-RO KAR BEHAL HO JAATE THE...
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

mile to haal-e-dil bhi na puche

mile to haal-e-dil bhi na puche
itne bhi begane hum nahi hue...
***
teri muskaan par aa gaya dil mein toofan
shoole jal uthe bhujhe hue...
***
raste alag-alag hue to kya
chal to raha hai zindagi ka safar
musafir to tum bhi
musafir to hum bhi hue...
***
na tha muqaddar mein mere chand, gum nahi
do ghadi to dekh lene do
armaan kab se dil mein yeh dabe hue...
***
alvida kabhi hum keh na sakenge tumko
jubaan mein hai teri judai ke chaale pade hue...
[written by romil arora - copyright reserved]

कुत्ता पालने और खुद भौखाने में कोइए समझदारी नहीं हैं!

MANAGEMENT MASTI MAIN...

कुत्ता पालने और खुद भौखाने में कोइए समझदारी नहीं हैं!

Humko yeh hamesha pata hona chahiye ki humko apne junior staff se kya kaam karwana hain aur humko kaun sa kaam karna hain... humko kis tarah ka support apne junior staff ko dena hain...

Example: -
Agar main koiye kutta palata hu to mujhe yeh pata hona chahiye ki usko kis darwaze par baithana hain...
Usko kab aur kis samay bhojan dena hain...
Usko kab-kab vaccination lagwana hain...
Usko kab-kab baahar thelane le jaana hain...
MAGAR MAIN BHOOK NAHI SAKTA... KYUNKI BHOOKHANE KA KAAM US KUTTE KA HAIN... 
JO AAPKA KAAM HAIN WOH HI AAP KARE... AGAR AAP BHI KUTTE KI JAGAH BHAUKANE LAGOGE TO FHIR KUTTA PALANE SE KYA FAIDA???

Second example dena chahunga...
Agar mere koiye mithai ki shop hain... To mujhe yeh pata hain ki halwai ko kab aur kitni sugar purchase karke daine hain, kitna milk purchase karke dena hain, kaun-kaun se usko utensils purchase karke dena hain... MAGAR MAIN MITHAI NAHI BANAUNGA... KYUNKI YEH KAAM HALWAI KA HAIN... AGAR MUJHE HI MITHAI BANANI HAIN TO FHIR MAIN KYON HALWAI KO RAKHU... FHIR HALWAI RAKHANE SE KYA FAIDA???

Isliye main kehta hu ki aapko hamesha pata hona chahiye ki aapko apne junior staff se kya kaam karwana hain aur aapko kaun sa kaam karna hain... kis tarah ka support aapko, apne junior staff ko dena hain... Dono ki responsibilities ek dum clear honi chahiye...

कुत्ता पालने और खुद भौखाने में कोइए समझदारी नहीं हैं!

Jis kisi ko bataya humne apna haal-e-dil..

Jis kisi ko bataya humne apna haal-e-dil
har shakhs ne humko pagal kaha...
***
tasveer banana chahata tha main uski
duniya ne wafa ka rang dhund kar laane ko kaha...
***
baar-baar woh mujhko yaad aa jaati hai
lakh baar duniya ne usko bhulane ko kaha...
***
uski duniya noor-e-pak rahe Romil
humne khud par ilzaam lagane ko kaha...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, February 12, 2010

subah yaadon main beeth jaati hain...

subah yaadon mein beet jaati hai
raat intezar mein beet jaati hai...
***
qaafile-qaafile badalte rehte hai
zindagi safar mein beet jaati hain...
***
woh vaada karke milne na aaye to
fikr uski mujhe kha jaati hai...
***
kaise bhool jayun uski muskaan Romil
woh hi to saansein chalna seekhati hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

"YEH MERI COMPANY NAHI HAIN, FHIR BHI MAIN ENTREPRENEUR HU"


प्रबंधन की कुछ दिलचस्प बातें बताने की कोशिश करूँगा. आशा हैं की आप इससे सकारात्मक लेंगे, नकारात्मक नहीं लेंगे. अगर गलती हो तो कृपया इससे सुधारने में मेरी मदद करे.

Shivling, is shingar se tum marr na gaye ho!

Bhakt bhi kitne ajeeb hain tumhare
Dekho kitna sneh dekhate hain.
*
Bail-Patra se dhak tumko daite hain
Tumko jal, dudh, ghee se nehlaate hain
Phoolon ki maala, bhabhuti-rakh se tumhara shinghar karte hain
Baar-Baar apne sar-haaton ka sparsh tumpar karte hain.
*
Yeh sab dekh kar main darr jata hu
Ghabrane sa lagta hu
Yeh sochane lagta hu
Kaash tum awaaz dekar itna bata daite ki tum zinda ho
Warna main samjhunga Shivling, is shingar se tum marr na gaye ho!
[INSPIRED - written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, February 11, 2010

sabke sab dhokebaaz hai...

sabke sab dhokebaaz hai kisi par bharosa na karo
haath jal jayega tumhara suraj ko khilona samjha na karo!
***
akele chalo, raah mein kisi ke saathi na bano
loot lenge tumko, kisi anjaane ke mehmaan na bano!
***
Yeh mehfil hai sharabiyon ki, yahaan sharafat kaisi
buut kehlaoge, jyada sharafatdaar na bano!
***
dil tumhara mom hai, pighal jayoge Romil
nafrat ki looh se mila na karo!
[written by romil arora - copyright reserved]

mere khuda...bura mat manna!

dua manate-manate
ab neend si aane lagati hain...
haath uthate-uthate
ab angraiye si chane lagati hain...
mere khuda...bura mat manna!
mere khuda...bura mat manna!
****
kya karu ab teri rehmat par bharosa nahi raha
namazo par aitbaar nahi raha
tujhse ladane-jhagade ko bhi mann nahi karta
tujhse rooth jaane ko bhi dil nahi chahata
ab ibadaton wala mausam nahi raha
mere khuda...bura mat manna!
mere khuda...bura mat manna!
****
tere daar par aane se pehle juta utarana bhul gaya
teri bandagi karte hue sir dhakana bhul gaya
ab har baat par tujhe yaad karna aacha nahi lagta
kya kahu Romil kuch badal sa gaya
mere khuda...bura mat manna!
mere khuda...bura mat manna!
[written by romil arora - copyright reserved]

दिस्क्लैमेर

दिस्क्लैमेर

इस ब्लॉग मैं लिखी सभी बातें काल्पनिक हैं. यह लेखक की रचना मात्र हैं. इन बातों का किसी जीवित और मृत्य इंसान से जोड़ना पूरी तरह से गलत होगा. अगर यह महसूस होता हैं या ऐसा लगता हैं की यह बातें किसी से जुडी हैं तो यह इत्तेफाक हो सकता हैं या संयोगवश हो सकता हैं.

आपका

#रोमिल

Saturday, February 6, 2010

नोटिस

नोटिस

इस ब्लॉग पर लिखित सभी बातें मेरी व्यक्तिगत राये हैं, मेरी व्यक्तिगत विचार हैं, मेरी व्यक्तिगत सोच हैं. अगर इससे किसी की भावना को जरा सी भी ठेस पहुचती हैं, किसी को दुःख होता हैं तो मैं इसके लिए माफ़ी मांगता हूँ.  बहुत माफ़ी मांगता हूँ.

अगर आप मेरी लिखे हुई किसी बात को डिलीट करवाना चाहते हैं तो आप इस ब्लॉग पर कमेन्ट कर सकते हैं. मैं जरुर उन सब बातों को डिलीट कर दूंगा.

शुक्रिया।

आपका

#रोमिल

waafa ke sheesh-mahal

jis waafa ke sheesh-mahal main saaja ke rakha tha usko
baadi zor se thokar maar kar gaya tha woh usko...
***
baadi hi salamati se rakha hain maine usko 
jis waafa ke sheesh-mahal ne ghayal kiya tha mujhko...
***
agar bewafai hi karni thi jo usko
saar-e-aam qatal ki kar diya hota mujhko...
***
kisko sunau apni waafa ka kissa Romil
Rabb bhi to samajhata hain kasoorvaar mujhko...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Friday, February 5, 2010

Mujhse kya puchate...

Mujhse kya puchate ho haal-e-dil tum mera
Roye bahut hai lekar naam tera...
***
Pagal kaho ya fir kaho dewana tera
Har pal nibhayenge hum bewafai ka vaada tera...
***
Do pal saath chale the ki chhut gaya haath tera
Yeh maano ya tum na maano
Ab saaya bhi nahi raha hai dost mera...
[written by romil arora - copyright reserved]

haal-e-dil

Mera haal-e-dil jaan kar kya karoge Romil
Bas itna jaan lo jo zinda tha woh marr chuka hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

haans deta hu...

kisi ko dekh kar haans deta hu jo main Romil
yeh sochane lagta hu main khud se kitna jhoot bolne laga hu...
[written by romil arora - copyright reserved]

Yeh zindagi...

Yeh zindagi bhi Taash ke Patto ki tarah hoti hain Romil
kisi ko badshah to kisi ko gulam bana deti hai...

#Romil

यह जिंदगी भी ताश के पत्तों की तरह होती है रोमिल
किसी को बादशाह तो किसी को गुलाम बना देती है...

#रोमिल

Thursday, February 4, 2010

tere jaane ke baad...

tere jaane ke baad bhi nahi toota apna rishta dard se Naaz
tu ja chuki hai fir bhi hum yaadon mein rote hai...

#Romil

तेरे जाने के बाद भी नहीं टूटा अपना रिश्ता दर्द से नाज़
तू जा चुकी है फिर भी हम यादों में रोते है...

#रोमिल

fursat

abhi to mujhe apne dard-e-duniya se fursat nahi Romil
kabhi fursat hogi to tera bhi haal-e-dil puchenge...

#Romil

अभी तो मुझे अपने दर्द-ए-दुनिया से फुर्सत नहीं रोमिल
कभी फुर्सत होगी तो तेरा भी हाल-ए-दिल पूछेंगे...

#रोमिल

mujhe sochana padega...

Mohabbat main kha chuka hu kaiye baar dhoka
ab kisi par bhi yakeen karne ke liye mujhe sochana padega...
***
Samaj nahi aata kya karu uske khataon ka
ab uske khat jalane ke liye mujhe sochana padega...
***
Uski bewafai ki ada jo maine dekhi
ab apne waafa ki ada ke baare main mujhe sochana padega...
***
Rabb kehta tha ki woh tera hain
Ab rabb ke vaadon ke baare main mujhe sochana padega...
***
Woh to alvida keh kar juda ho gaya Romil
Ab uski yaadon ko alvida kehne ke liye mujhe sochana padega...
[written by romil arora - copyright reserved]