Wednesday, June 20, 2018

EndU Chipkalli...

EndU Chipkalli...

matmaili si...
halki bhoori si...
thodi tagdi-moti si...
chhoti si puchh wali...
mooti se do naino wali...
deewaron pe chehalkadmi karne wali...
Maa ki tasveer ke peeche chhup ke rehti hai...

jab dekhe koi keet-patanga-makkhi...
to jhat se nikal...
apni juban se pakad fhata-fhat kha leti hai...
fir Maa ki tasveer ke peeche jakar chhup jaati hai...

jo main utha kar jhadhoo usko maarne dhaudun...
to sar-pat bhaag Maa ki tasveer ke peeche jaakar dubak jaati hai...

main jhadhoo haaton se pakde uska intezaar karta rehta hun...
woh chor nazar se mujhe dekhkar fir tasveer ke peeche dubak jaati hai...

roz mera-uska yahi khel chalta rehta hai...

ab to woh mujhe pehchanne lagi hai...
Kamre mein meri aahat paate hi Maa ki tasveer ka sahara le leti hai...

EndU Chipkalli hai...

- raj

Radio... Sau dard... Rangeela Re... Tu kya jaane wafaa o bewafa... Shokhiyon mein ghola jaye phoolon ka shabab...

nashe mein dhhut hokar tum ghar aai thi...
main bistar se uth kar, kitab ko daraaz mein rakh kar.... darwaza kholne gaya tha...

radio madhur aawaz mein nagme suna raha tha...

"tu kya jaane wafaa o bewafa...
pyar karna tere bas ki baat nahi...
kisi pe marna tere bas ki baat nahi...
oh bewafa...

almirah kholkar na jaane tum kya dhundhane lagi...
almirah se sab kuch nikal kar tumne bahaar fhek diya....
fir tum apne mooh se laar tapkate hue... wahi zameen pe dharashai ho gir padi...

Radio dheeme aawaz mein baj raha tha...

"Rangeela re....ohhh...
Rangeela... Tere rang mein yunh ranga hai mera mann... 
Chhaliya re... Na bhuje hai kisi jal se yeh jalan...
Ho Rangeela re..."

Maine tumko apni baahon se pakadkar ghaseetate hue bistar pe patak diya...

tum kuch nashe mein photo album... photo album... keh rahi thi...

fir tumhare jute-moje, kapde utaarkar tumko night gown pehnai...
fir kisi tarah bacchon wali bottle se tumhe Pani ke kuch ghuut pilaye...

Radio... apni geetmala prastut kiye ja raha tha...

"Mere dushman.. tu meri dosti ko tarse...
Mujhe gum dene wale tu khushi ko tarse...
Mere dushman...

tum neend mein kuch baar-2 badbada rahi thi...
Maine khud ko tumhare qareeb lakar suna..
Tum keh rahi thi...
"Main tumhe pasand nahi hun na... aachi nahi lagti hun na... Ab pyar nahi karte ho tum mujhse...

Din mein main ghar aai thi... Tum nahi the... Tum mall gaye hue the... Gill ke saath movie dekh rahe the, lunch kiya, ghume-fhire... Tumne mujhe batana bhi jaroori nahi samjha..." Mujhe Gill ke boyfriend se pata chal gaya...

Main sab masla samajh chuka tha...ki aag kisne lagai hai..

Radio apna track change kar chuka tha...

"Shokhiyon mein ghola jaye phoolon ka shabab...
Usmein fir milie jaye thodi si sharaab...
Hoga yun Nasha Jo taiyaar woh pyar hai..."

Main raat bhar jagata raha... Radio se baatein karta raha... 

Subah tumhare uthate hi maine coffee ke cup ke saath tumko datana shuru kar diya...

Par tumne koi jawaab nahi diya... Na koi mujhse sawaal pucha...

Maine khud hi sab kuch likh kar tumko raat mein email kar chuka tha... Tumne shayad office pahuch kar pad liya hoga...

"Sau dard hai...
Sau raahtein...
Sab Mila dilnashi...
Ek tu hi nahi..."

- raj

Tawaif...

NaaZ kehti hai...

Mohabbatein to Tawaifen bhi karti thi...
Ek baar jo ishq kisi se ho jaye,
To Kotha kisi aur ke liye nahi sajaati thi...

Jaam khulta tha to sirf mehboob ke liye,
Mehfil roshan hoti thi to aashiq ke liye,
Tawaif nachati thi, gaati thi to sirf apne dildaar ke liye...

Dil to tawaifen bhi rakhti thi...

- ⛅

Suno ek Rani ki kahani jo thi ek Raja ki diwani...

Amma koi kahani sunao... neend aa jaye...
Apni goad mein litao, baalon pe haath fher kar halka-halka sehlao... ki neend aa jaye...

"Suno ek Rani ki kahani jo thi ek Raja ki diwani...
dono mein beshumaar mohabbat thi...
dono ki zindagi thi suhani...

Jitni Rani thi Sushil, Guni...
Utna hi Raja tha Sahasi-Prakrami...

Poore Rajya mein dono ki amar thi prem kahani...
Bacchon-baachon ke mooh pe thi...unki kahani...

Door desh ke ek Yodha ka Rani pe Dil as gaya...
Woh usko haasil karne ke liye Shadyantra pe Shadyantra rachata raha...

kabhi daulat ka lalach diya...
kabhi koi rajya, raja ko tohfa mein diya...
kabhi daraya, dhamkaya...
ant mein Yudh ka niyota diya...

Yudh kai mahino tak chalta raha...
Yudh mein woh jeet na saka Raja se.. to
dhoke se usne Raja ko zehar dekar marwa diya... Uske saathiyon ko apne saath kar liya...

Raja ke rajya, sena pe fir us Yodha ne kabza kar liya....
Chala woh Yodha fir Rani ko kabzaane...

Rani ne bhi thaan liya...
Marr jayenge... Par Raja ke siwa kisi ke na soyenge sirhaane...

Mandir ka darwaza band kar liya Rani ne...
Sher pe sawaar Durga ko fir pranaam kiya...
Singhaar kiya khud ka... Khud ko dulhan ki tarah sajaya...
Pooja ki... aarti utari  Durga ki...
Bade se kund mein agni ka aahavaan kiya...
Agni ki lapton mein lagi khud ko jalane...

Charon taraf dhua ka khoob guwaar utha...
Chand lal ho utha...
Aasman nira kaala rang sa ho gaya...

Mar ke bhi apni preet amar kar hai,
Apni laash ko bhi Agni mein daah kar gai...

Dono Raja-Rani fir swarg mein mile...
Rab ke ghar mein ek-dusare ke hokar rahe...

Yodha sab kuch jeet ke bhi haar gaya...
Rani-Raja haar kar bhi apni preet amar kar gaye...

#Romil Arora

Tuesday, June 19, 2018

Radio.. Chhai Chappa Chhai... Dil diyan gallan...tenu itna main pyar karaan...aapki aankhon mein...tere pass aakar...

Chhai Chappa Chhai...
Chappa ke Chhai...
Paniyon ke chheete udaati hui ladki...

"Radio ki Volume thodi low rakho Hero... Padosi bhi rehte hai...

Kapde parchatti pe fhelate hue" tum bol uthi thi...

"Khoobsurat lag rahi ho simple look mein... Sardarni... Kyon aaj office jakar kursi todne ka irada nahi hai..." Main coffee ka ghut peete bol utha tha...

"Nahi... Aaj evening mein koi movie chalenge, kuch South Indian khayenge... aaj Book ka final karna hi hai kisi bhi tarah..." tumne kahan tha...

"Dil diya gallan karange naal-naal beh ke, ank naal ank nu mila ke...
Dil diya gallan...

Radio apne poore shabab pe tha... Umas garmi se haal behaal sa hua pada tha... Pankha bhi mar-mar kar chal raha tha...

Kursi pe bethate hue tumne kahan tha...
"Yeh bucket, bathroom mein rakh do please aur mera lappi mujhe de do... Lunch mein kuch banana chaho to bana lo, warna tiffin mangwa lena... Breakfast ke liye fruits chaat hai hi, bread+butter+jam bhi hai... Juice bhi rakha hi hai... Wahi ho jayega...

Aaj to book ka final karna hi hai..." Tum laptop kholate hue boli thi...

Radio angdaiyaan lekar dusare track pe pahuch chuka tha...

"tenu itna main pyar karaan...
ek pal vich sau baar karaan...
tu jaave je mainu chhad ke maut da intezaar kara..."

Oye hero... Idhar aao... fruit chaat khaate hue tumne mujhe pukara tha...

"Cover page kaisa hai? Kya kuch changes required hai?  Meri taraf se to final hai...

Paper bhi final kar diya hai...grm., quality, bhi dekh liya hai...

Under ka design bhi final hai... Cover colorful rahega aur under black n white... 

Font... Font size sab check kar liya hai...

Yeh kuch sketches bhi banwaye hai... Jo content ke saath hi place honge... woh bhi final hai...

Publishers bhi final hai... Cost to humein hi lagani hai...

Bas Mata Rani ka ashirdwad lekar printing mein dalna hai... 

Radio apni dhun mein baj raha tha..

"Aapki aankhon mein kuch mehake hue se raaz hai....
Aapse bhi khoobsurat aapke andaaz hai..."

Maine kahan tha bread+butter lagate hue...

"tumhe kya lagta hai cost recovery ho payegi?... itna expenses karne ki kya jarurat hai?..."

Tum bread+butter khate hue bol uthi thi....
"mere pass marketing plan hai... No tension... Cost recover ho jayegi... Ab kahi na kahi se to tumko start dena hi padega na... Risk to lena hi padega...

Nahi to panne fhad-fhad ke rocket udayenge ya fir chapati-sabji rakh-rakh khayenge... hehehehe...

Accha coffee bana lao... Ab tumhari turn hai... evening ko meri turn...

Radio pe tarane-nagme baj rahe the...

"Humne tujhko pyar kiya hai jitna...
kaun karega utna...
Kaun karega utna..."

Main kitchen se coffee banate bol utha...
"Khichadi chalegi Lunch mein... Dahi ke saath..."

Tumne jawab diya tha... Haan... Par simple si... Koi Punjabi experiment mat karna khichadi mein... Simple sa tadka, nahi to main laga lungi... Tum Punjabi experiment mat karna...

Tumhari aur Radio ki awaaz mere kaano mein aa rahi thi...

"Tere pass aakar mera waqt guzar jaata hai...
Do ghadi ke liye gum jaane kidhar jaata hai..."

- raj

Rehne do chhodo...

(1)
jis mod pe chhod aaye the...
ise wahi pe dafan rehne do...
ishq ko chhedo mat... ise mat khodo... ise mat zinda karo...
warna yeh fir jaag jayega...
fir na tumhe sone dega, 
meri to pehle hi neend uda rakhi hai isne...

(2)
na koi udhari li hai tumse...
na koi karza diya hai tumko...
na koi samaan tumse liya, na maine diya tha...
ishq ka sauda hua tha... jitna tumne diya, utna hi maine kiya tha...
thoda kam-jyada raha ho...to maaf kar dena...

fir ab tum mujhse lene kya aa sakti ho?

ya fir kuch chhurane aai ho?

na rupiya-paisa, dhan-daulat hai mere pass...
na heere-moti, jevaraat hai mere pass...
na ghar-zameen-jaydaad hai mere pass...
blood ka tum kya karogi? ya kidney, liver logi?

Dil mat mangana...
Yeh tumhare kisi kaam ka nahi raha...
Ek dum gala-sadha hua pada hai...
Tarah-tarah ki gaaliyan bhari padi hai isme...
Na jaane kitni baddua, kitni nafratein bhari padi hai isme...
Bhagwan ji tak ko nahi baksha hai is Dil ne...

tum iska kya karogi?

rehne do...

(3)
Delete...

(4)
Delete....

(5)
Delete....

(6)
Delete...

(7)
Rab yahi Chahta hai...
Sirf Mera rishta Rab ke saath ho...

Isliye usne khudbakhud is arsh ke sabhi rishte tod diye... Taki main us farsh pe khuda se rishte bana saku...

Warna aajkal kiske haq mein Faristee bolte hai?

- ⛅

mitti ke dhele ko mitti mein mil jaana hai...

Maine uske diye RadhaKrishna ko
Apne mandir mein saja rakha hai...

Baat chhoti hai magar sochane ko mann karta hai...

#Romil Arora

Ammo kehti thi...

mitti ke dhele ko mitti mein mil jaana hai,
tumhe bhi khuda ke paas jaana hai, humein bhi khuda ke paas jaana hai...

hum husn ko pardon mein rakhte hai...
daulat beshkeemati hai...
chor-dacait zamana hai...

aur

Bhalu... alfhazon mein dard tere hai bahut,
bas be-dard zamana hai...

Bhalu... duniya samajh mein aai magar dair se tere,
samundar mein kashti ka dubna, sahil pe tamashbeeno ka mazma lagna, purana hai...

#Romil Arora