Tuesday, December 29, 2009

yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main...


yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
sab sunate hain mooh ki baatein
koiye na jaane kya beeta hain mere saath main...
***
yunhi fhirta rehta hu...
***
raaton ko utha-utha kar darwaze par baith jaata hu main
lagta hain jaise chand se utar raha hain woh...
sadiyoon-sadiyoon yunhi khojata hua
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
***
woh mera aaina uski parchaiye hu main
ek hi kamre main qaid rehte hain dono
kabhi main kehta, sunti hain woh
kabhi woh kehti, sunta hu main...
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
***
ghantoon baitha rehta saagar kinare main
logon ko aate-jaate dekhata raha
tum nahi aaye milane mujhse
sadiyoon khamoosh gumsum sa raha main...
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
[written by romil arora - copyright reserved]

AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...

TUM BHI BAAWRE BAN JAYOGE
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
***
INTEZAR MEIN ZINDAGI BITAOGE
TANHAI MEIN RAATEIN BITAOGE.
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
***
AAINA SE KAROGE BAATEIN
CHAND-TAARON KO APNA DOST BANAOGE.
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
***
RAASTE KO HUMSAFAR BANAOGE
DAIR SE GHAR AAYOGE.
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
***
HAR BAAT GAWARA KA LOGE
PAGAL KEHLAOGE
TUM BHI BAAWRE BAN JAYOGE
AGAR MOHABBAT KA ROG LAGAOGE...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, December 28, 2009

aadat aachi hai...

purane khat ko purze ki tarah phadh dene ki
aadat aachi hai...
beeti baaton ko bhool jaane ki
aadat aachi hai...
***
hum to sochte the
hamari khata hi unko hamari yaad dilati hogi
magar doston ko bhool jaane ki unki
aadat aachi hai...
***
hum to dost to khuda samajhte the
unko khuda badalne ki
aadat aachi hai...
***
yeh khayal hamare dil mein tha ki woh humko ab bhi yaad karte honge
unko khayalon mein na jeene ki
aadat aachi hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Behti hawa sa tha woh...



Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usse dhoondo...


Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usse dhoondo...

Humko to raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta sambhalta masti mein chalta tha woh...


Humko kal ki fikar sataati
Woh bus aaj ka jashn manata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh..

Kahan se aaya tha woh
Choo ke humare dil ko
Kahan gaya usse dhoondo...


 Sulagti dhoop mein chaaon ke jaisa
Raigistaan mein gaaon ke jaisa
Mann ke ghav pe marham jaisa tha woh...


Hum sehme se rehte kooein mein
 Woh nadiya mein gotey lagata
Ulti dhara cheer ke tairta tha woh...

Baadal awara tha woh
Yaar humara tha woh
Kahan gaya usse dhoondo...


Humko to raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta sambhalta masti mein chalta tha woh...

Humko kal ki fikar sataati
Woh bus aaj ka jashn manaata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh...


Kahan se aaya tha woh
Choo ke humare dil ko
Kahan gaya usse dhoondo...
[NOT WRITTEN BY ME]

Sunday, December 27, 2009

tum mere pass raho...

jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye tum mere pass raho...
***
jab kabhi gire meri aankhon se aansoo
tum mere pass raho.
jab kabhi mere hoonton par muskaan na aaye
tum mere pass raho.
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab kaate na kate yeh kaali raat
tum mere pass raho.
jab tanhai ki raatein sataiye
tum mere pass raho.
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab koi bigadi baat na bane
jab koi na de saath mera
tum mere pass raho...
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab uski bewafai mujhe yaad aaye
tum mere pass raho.
jab judai ka dard sataiye
tum mere pass raho.
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab intezaar ki bela rulaiye
tum mere pass raho
jab chand bhi naazar na aaye
tum mere pass raho
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab saagar ke kinare tanha nazar aaye
tum mere pass raho
jab barsaat ki boondein pyasi nazar aaye
tum mere pass raho
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab main rooth jayun
tum mere pass raho.
jab kabhi aaina se karu baatein
tum mere pass raho.
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
jab kabhi koi apna rulaiye
tum mere pass raho...
mere dost...tum mere pass raho...
mere rabb...tum mere pass raho...

#Romil

जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब कभी गिरे मेरी आँखों से आँसू
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मेरे होंठों पे मुस्कान न आये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब काटे न कटे यह काली रात
तुम मेरे पास रहो...
जब तन्हाई की रातें सताये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब कभी बिगड़ी बात न बने
जब कोई न दे साथ मेरा
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब उसकी बेवफ़ाई मुझे याद आये
तुम मेरे पास रहो...
जब जुदाई का दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब इंतेज़ार की बेला रुलाये
तुम मेरे पास रहो...
जब चाँद भी नज़र ना आये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब सागर के किनारे तन्हा नज़र आये
तुम मेरे पास रहो...
जब बरसात की बूँदें प्यासी नज़र आये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब मैं रूठ जाऊँ
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी आईना से करूँ बातें
तुम मेरे पास रहो
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी कोई अपना रुलाये
तुम मेरे पास रहो...
मेरे दोस्त... तुम मेरे पास रहो...
मेरे रब... तुम मेरे पास रहो...

#रोमिल

Saturday, December 26, 2009

yeh duniya daari humse na hogi...

yeh duniya daari humse na hogi hum to dildaari kar sakte hain
dil ki baatein sunate hain
dil par yakeen karte hain.
yeh duniya daari humse na hogi...
!*!
dil ka sauda dil se karte hain
har apne ko apna samajhate hain
hum to ajnabiyoon se bhi waafa karte hain
yeh bewafai humse na hogi
yeh duniya daari humse na hogi...
!*!
khawabon ko saja kar rakhana jante hain
yaadon ko sanjho kar rakhana jante hain
khawabon ki saude-baazi humse na hogi
yeh duniya daari humse na hogi...
!*!
sanam ke liye de sakte hain jaan bhi
har zakhm muskurakar seh sakte hain  
humse daulat par zindagi qurbaan nahi hogi
yeh duniya daari humse na hogi...
[written by romil arora - copyright reserved]

aaise na humse waafa tu kar...

aae bewafa humko tanha na kar aaise na humse waafa tu kar...
***
jab hum teri bewafai ko yaad karke rote hain
tab hi to chain se sote hain...
meri aankhon se neend ko aazad na kar
aaise na humse waafa tu kar...
***
pehle tere peeche yunhi fira karte the aawara ban kar
ab ghar main baith kar khud se teri baatein kiya karte hain
fhir humko aawara na kar
aaise na humse waafa tu kar...
***
ishq main hum to rabb (NAAZ) ho bhul chuke the
tujhe apna rabb samajhate the
jab se ki tune humse bewafai
apne rabb ki panah main rehte hain
ab humko rabb se durr na kar...
aaise na humse waafa tu kar...
***
aae bewafa humko tanha na kar
aaise na humse waafa tu kar...
[written by romil arora - copyright reserved]