Showing posts with label #RomiLWrites. Show all posts
Showing posts with label #RomiLWrites. Show all posts

Wednesday, July 1, 2020

Veham...

yeh veham hai tumhara "ki tumne kuch paa liya hai..."
abey... humne tukda fheka hai jo tumne utha liya hai...

haridwar...har ke dwar...

#BestAnswers
#Romil

Thursday, June 11, 2020

दुःख नहीं होता है?

मैंने पूछा छोटू, मजदूरी करते हो, पढ़ाई छूट गई दुःख नहीं होता है?

छोटू बोला, जब आप जैसे पढ़े-लिखो, एमबीए-इंजीनियर को मनरेगा में मिट्टी ढोते-मजदूरी करते देखता हूँ, फूटपाथ पर चाय बनाते-पकौड़े तलते देखता हूँ, जब ठेले पे सब्जी-फल बेचते देखता हूँ तो दुःख नहीं होता है।

क्या करना था इतना रूपया पढ़ाई पे खर्च करके। अच्छा हुआ छूट गई। 

#रोमिल
#BestAnswers

Wednesday, June 10, 2020

जवाब तो वही है

जवाब तो वही है 
जो कुछ समय पहले महाराष्ट्र को था,
असम, बंगाल, तमिलनाडू को था,
खालिस्तान को था,
वही जवाब दिल्ली को है.

अखण्ड भारत, सबका भारत, सबकी दिल्ली।
 
#रोमिल
#BestAnswers

यह आँकड़ों का खेल हमको मत समझाओ!
पाँच साल से है "आप"
पाँच साल और राज करेंगे "आप"
अगर स्वास्थ व्यवस्था लाचार है, नाकाफी है, तो ज़िम्मेदार है "आप"। 

पाँच वर्ष काफी होते है। 

#रोमिल
#BestAnswers

Friday, June 5, 2020

Yeh Garib ka Chula hai ise kahan GDP samaj aati hai...

Wazir-e-Azam yeh Garib ka Chula hai ise kahan GDP samaj aati hai
Kahan yeh Rajkoshiye Ghata samaj pata hai
Vikas Dar se bhi iska koi Sarokar nahi

Yeh Garib ka Chula hai...

Ise to bas badti hui Mehangai nazar aati
Haandi mein Pani ke beech pakti hui Chawal ki Kankari nazar aati hai
Bhookhe sote hue bacchon, majboor maa-baap ki Bheeghi Aankhein nazar aati hai.

Yeh Garib ka Chula hai...

Express Way bhi kahan isko dikhata hai
Shopping Mall se bhi kahan iska koi rishta hai
Digital India ki Dhun bhi kahan Sookhi Lakdi ka Kaam kar payegi
PM Care ki Goonj se kahan yeh Jalta hai

Yeh Garib ka Chula hai...

Mahine mein 15 din yeh Jal nahi pata hai
Mann mein kitne Vyanjano-Pakwano ko Pakane ki Abhilasha lekar roz marr yeh jata hai
Ab iska Shinghar, Pooja pehle jaisi hoti nahi
Ab Maa isko Mitti se Leep kar Sukhoti nahi

Yeh Garib ka Chula hai ise GDP samaj aati nahi...

#Romil

Thursday, June 4, 2020

Khet Ka Marna

"Magar Kaise Chhupa Paoge Is Khet Ka Marna"

Bhookh Se Marr Raha Hu Main,
Aur Tum Ise Bimari Ka Bahana Dete Ho.
Magar Kaise Chhupa Paoge Is Khet Ka Marna...

Garibi Se Khudkhushi Kar Raha Hai Kisan,
Aur Tum Ise Ghar ka Jhagada Batate Ho.
Magar Kaise Chhupa Paoge Is Khet Ka Marna...

Mera Marna To Log Bhool Jayenge,
Kuch Pal Yeh Akhbaar Wale Mere Dukhi Jeevan Ko Dekhayenge,
Fir Kisi Khushi Mein Yeh Bhi Kho Jayenge.
Magar Kaise Chhupa Paoge Is Khet Ka Marna...

Jab Log Tumse Is Khet Ka Marna Puchenge,
Kya Bataoge?
Kyon Bangar Pada Hai Yeh?
Kyon Ismein Fhashal Nahi Khilkhila Rahi?
Kyon Dharti Maa Ro Rahi?

Meri Maut To Chhupa Paoge.

Magar Kaise Chhupa Paoge Is Khet Ka Marna...

#Romil

Monday, June 1, 2020

Ek Baccha aur Uski Maa

din bhar dhoop mein
hal chalakar
mehnat se aanaj paida karta hain kisan!
fhir bhi bhookha kyon sota hain kisan?
~
Bhookh se roota-tarapta hua Ek Baccha aur uski Maa
ghar-ghar do Roti ki bheekh magate hue
koi na unki fariyad sunne wala
dhikkar, apmaan ke siwa woh kuch nahi pate....

maine dekha aur bola
"sach main kalyug aa gaya"

woh boli
"kalyug kya, satyug kya
Ram kya, Raheem kya
sab suna-suni baatein hai
na maine jana kabhi, na dekha kabhi
main to bas itna janu
yeh duniya hai, lakhon log dhanwaan hai yahaan
usme mera baccha bhukha hai
roti ke liye tarafta hai
main ek majboor Maa kuch na kar pati hu"

#Romil

Sunday, May 31, 2020

Kisan Pareshan

Barsaat adhik ho to Kisan Pareshan...
Baarish kam ho jaye to Kisan Pareshan...
Fhasal kam paidavaar ho to Kisan Pareshan...
Fhasal adhik ho to Laagat Mulya nahi milta, Kisan Pareshan...

Waqt pe kheti ke liye kabhi Bijli nahi milti... Kabhi Pani nahi milta...
Kisan Pareshan...

Motor ka kharcha... Diesel ka ghatata-badta hua Daam...
Kisan Pareshan...
Tractor ka kharcha... Majdoor ki laagat... Udhari pe bota aanaaj... Karz ka badta janjaal... Fhansi pe jhulata Kisan...
Kisan Pareshan...

Kabhi kudrati aafatein ujaad jaati hai fhasal...
Kabhi Tiddiyon ka bawaal..
Kabhi sarkaar bada deti hai Beej ke Daam...
Kabhi Mandi ke chakaron se...
To Kabhi Cold Storage ki lineoo se hota hairaan...
Kisan Pareshan...

Subah ki khet mein hazri...
Raat mein khet ki chaukidari...
Gharbhar laga rehta tamam... Subah-Shaam...
Kisan Pareshan...

Na Bima Rashi ka samay pe hota bhugtaan...
Khet pe Sarkaro... Dabango... Sahukaro ki nazarein karti rehti pareshan...
Kisan Pareshan...

Anaajdaata khud roti ke liye tarasta...
Jiska parivar udh na pata khawaishon ki Udaan...
Kabhi-2 aisa lagta hai Is Desh mein Kisan ka dusara naam hi hai Pareshan...

#Romil

Saturday, May 30, 2020

Kya Fayda...

Muft Ration (National Food Security Act)... 
Muft Shiksha (Sarv Shiksha Abhiyan)...
Muft Swasthya Sewa (Ayushman Bharat Yojana)...
Jan Dhan Account, Bima Yojana, Pension Scheme...
Awas Yojana, Pani-Bijli Muft Yojana, Kisan Fasal Bima Yojana, Sauchalay-Swacch Bharat Mission, Gas Cylinder-Ujjawala Yojana... 
Rojgaar ki Guarantee... MNREGA... Kaushal Vikas...

Kya Fayda Insab Sarkari Yojanao ka Miya...
Jab Garib Ko, Kisan Ko, Majdoor Ko...  
Marne Se Na Bacha Paye...

#Romil

Seedhi Baat

Main sochata tha... Aisa kaun sa Ghar hoga jahan subah Chai na banti ho...

Kal dekha to khudko Yakeen nahi hua...

Kitne aise Ghar hai jahan Kai Hafton se Chulha nahi jala...

#RoMiL

Friday, May 29, 2020

Berojgari...

Imandari
Wafadari
Khuddari...

Sab kuch bhool baitha...
Jab uske hisse mein aai...

Berojgari...

#RoMiL

Saturday, May 23, 2020

chalo ab safar ko lapeto...

chalo ab safar ko lapeto...
ab ghar chalte hai...

bahut din guzaar liye idhar...
ab ghar chalte hai...

khuda ne pukara...
pal mein badal gaya nazara...
chhod kar begana jag saara...
ab ghar chalte hai...
hisab ka din hai...
chalo ab safar ko lapeto...
ab ghar chalte hai...

#Romil Arora

Saturday, April 4, 2020

Thursday, February 6, 2020

रास्तों में ही उलझ के भटक जाओगी...

यह ज़िद, 
यह समाज... 
की दीवारें तुमने ही तो खड़ी की है 
बिना इसको तोड़े कैसे आ पाओगी...

रास्तों में ही उलझ के भटक जाओगी... 

- #रोमिल 

Sunday, December 15, 2019

Laazmi hai door talak jayegi...

Laazmi hai door talak jayegi...
Yeh dushmani hai... Itni jaldi kaha mit payegi...

Aur na hum khatam hone denge...

Abhi toh humko bade karz utarne hai...
Zakhmo ke pade nisaan mitane hai...
Abhi kaha andhere ki chhata chhat payegi...

Aur na hum andhera khatam hone denge...

Abhi toh Khuda ko bhi hairani-pareshani mein dalna hai...
Uski likhi ko bhi badalna hai...
Maut se Maut ka hisaab chukana hai...
Pushton tak yeh rivayat nibhai jayegi...

Laazmi hai door talak jayegi...
Yeh dushmani hai Miya...
Itni jaldi kahan mit jayegi...

Aur na hum khatam hone denge...
Chahe khud khatam ho jaye...

#Romil Arora

Thursday, December 12, 2019

Yeh na samjho ki main sab bhulaye baitha hun...

Yeh na samjho ki main sab bhulaye baitha hun...
Mohabbat-e-Dariya mein sab kuch bahaye baitha hun...

Muddat bas tum us din tak samjho... 
Jab tak Khuda mujhe mauka nahi deta...
Muddat bas tum us din tak apni samjho... Jab tak Khuda mujhe koi mauka nahi deta...
Main apne Dil mein Nafrat-e-Toofan liye baitha hun...

Muddat bas tum us din tak samjho...

#Romil Arora

Main woh Katra hun...
Main woh Katra hun...
Jo Sagar ko pee jaye...
Ek hi ghut mein Sagar ko pee jaye...

#Romil Arora

Mujhse nahi jeet paoge...
Keh deta hun...
Mujhse nahi jeet paoge...
Tum Imandari ke haaton pees jaoge...

Aur 

Mere Haq mein to Rab ke Faristee Bolte hai...
Tum kis Khuda, Mazaar, Mandir ka darwaza khatkhataoge...

Tum Imandari ke haaton pees jaoge...
Mujhse uljhoge to ulajh ke reh jaoge...

#Romil Arora

Na bhoole hai tareek...

Na hum tumhein bhoole hai...
Na bhoole hai tareek...

Na bhoole hai ranj-o-gum...
Na bhoole hai maatam...

Talwaron mein dhaar na hone denge kam...
Sar tumhara hi hoga...
tumhara hi Sar hoga...
Bas Khuda se ek mauka maang rahe hai hum...

#Romil

ना हम तुम्हें भूले हैं 
ना भूले हैं तारीख... 

ना भूले हैं रंज-ओ-ग़म 
ना भूले हैं मातम... 

तलवारों में धार ना होने देंगे कम...
सर तुम्हारा ही होगा... 
तुम्हारा ही सर होगा... 
बस खुदा से एक मौका मांग रहे हैं हम... 

#रोमिल

Saturday, October 26, 2019

abki baar jo aao to fir aa hi jao....

abki baar aao to fir aa hi jao...
na maro... na bichado... na kahi door jao...

abki baar jo aao to fir aa hi jao...

na meri kisi baat par rutho...
na yeh besabri-na bematlab-na be-baat ka gussa dikhao...
na mujhpar bewafai ka ilzaam lagakar apna daaman chhudao...
abki baar aao to fir aa hi jao...

abki baar jo aao to fir aa hi jao....

na kisi purani baat ka zikr ho...
na tum mujhe aaina dikhao... na main tumhe aaina dikhau...
na yunh akele mein socho...ya yunh tanha aansoo bahao...
abki baar aao to fir aa hi jao...

waqt bahut beet chala hai...
kahi aisa na ho beete waqt ke saath kahi kho jao...
abki baar aao to fir aa hi jao...

abki baar jo aao to fir aa hi jao.. 

#Romil

अबकी बार आओ तो फिर आ ही जाओ... 
ना मरो... ना बिछड़ो.. ना कहीं दूर जाओ...

अबकी बार जो आओ तो फिर आ ही जाओ... 

ना मेरी किसी बात पर रूठो... 
ना यह बेसब्री- ना बेमतलब-ना बे-बात का गुस्सा दिखाओ... 
ना मुझ पर बेवफाई का इल्जाम लगाकर अपना दामन छुड़ाओ... 
अबकी बार आओ तो फिर आ ही जाओ... 

अबकी बार जो आओ तो फिर आ ही जाओ...
ना किसी पुरानी बात का जिक्र हो 
ना तुम मुझे आईना दिखाओ... ना मैं तुम्हें आइना दिखाऊं... 
ना यूं अकेले में सोचो... ना यूं तन्हा आँसू बहाओ... 
अबकी बार आओ तो फिर आ ही जाओ... 

वक्त बहुत बीत चला है... 
कहीं ऐसा ना हो बीते वक्त के साथ कहीं खो जाओ...
अबकी बार आओ तो फिर आ ही जाओ... 

अबकी बार जो आओ तो फिर आ ही जाओ...

#रोमिल

Sunday, August 4, 2019

9th August....

Ishq la-elaaj bimaari hai...
#Romil

इश्क़ ला-इलाज़ बीमारी है...
#रोमिल

itna HaQ to uspar mera hoga...
maang sindoor se bhari ho...

gale mein mangalsutra ka dhaga ho....
hatheliyon par mehandi se mera naam likha ho...

#Romil

इतना हक़ तो उसपर मेरा होगा...
मांग सिंदूर से भरी हो...

गले में मंगलसूत्र का धागा होगा...
हथेलियों पर मेहँदी से मेरा नाम लिखा हो...

#रोमिल

Tuesday, July 30, 2019

Review...

mere review mat liya karo please...
bahut kharab hote hai...

kisi se bhi puchoge mere baare mein... kharab hi review dega...

#Romil
#BestAnswers

Sunday, July 7, 2019

Yeh Trillions, Trillions kya hai...

Yeh Trillions, Trillions kya hai...
Yeh Trillions, Trillions...

Jab Garib ka Mitti ka Chulha, Gas-Stove ban jaye...
To Dil karta hai Trillions, Trillions...

Jab Sadak na Barsaat mein Naala ban jaye...
Jab Har Parivar ka Apna Ghar ho jaye...
Jab koi Sardi mein Road pe na thithure...
To Dil karta hai Trillions, Trillions...

Jab bina Sifarish, Rishvat ke Naukari lag jaye...
Jab Garib ko bhi asaani se Loan mil jaye...
Jab har Bacche ko Shiksha mil paye...
Jab har Majboor ko Swastha Sewa mil paye...
To Dil karta hai Trillions, Trillions...

Jab kisi ko Upekshit na samjha jaye...
Jab Bhed-Bhaav ka daur khatam ho jaye...
Jab har Naari khud ko Surakshit mehsoos kare...

To Dil karta hai Trillions, Trillions...

#RoMiL