Showing posts with label dost.... Show all posts
Showing posts with label dost.... Show all posts

Monday, June 2, 2008

Gulam Se Gulfam Ho Raha Hu

"Gulam Se Gulfam Ho Raha Hu"

Kuch Pal Ki Liye Tumko Bhool Gaya Tha Dost

Mujhe Maaf Karna,

Mohabbat Ki Jhooti Duniya Mein Kho Gaya Tha DostM

Mujhe Maaf Karna,

Nahi Janta Tha, Sab Dhokha Dene Wale Hi Baache Hai Is Duniya Main Dost

Mujhe Maaf Karna,

Tum Khafa Mat Hona

Magar Dost Ab Jab Tum Saath Ho Mere,

To Fir Mujhe Kisi Cheez Ki Kami Hai,

Tera Sajda Karna Hi To Ab Meri Zindagi Hai,

Tere Sajde Se Hi To Main,

Gulam Se Gulfam Ho Raha Hu!

[written by romil arora - copyright reserved]

"Aaj fhir Main Unhi Galiyoon Main Gaya"


"Aaj fhir Main Unhi Galiyoon Mein Gaya"


Aaj fhir Main Unhi Galiyoon Mein Gaya,
Jin Galiyon Mein Dost,
Hum-Tum Bachpan Bitaya Karte The.


Baada Dukh Hua Wahaan Ka Haal Dekh Kar,
Tumhare Bina Sab Kuch Viraan Dekh Kar.

Tumhare Ghar Main Laaga, Raat Ki Rani Ka Pedh Murjha Sa Gaya Hai,
Bandh Khidkiyon Ho Haawein Kholna Cha Rahi Hai,
Dhoop Tumhare Ghar Ke Bahar Se Hi Laut Aa Rahi Hai.

Woh Gali Ke Nukkar Ka Neem Ka Pedh Kisi Ne Kaanth Diya Hai.
Woh Handpump Jisme, Hum-Tum Latak-Latak Kar Paani Piya Karte The, Woh Sukha Pada Hai.
Choti Si Rashan Ki Dukaan, Ab Baade Se Shopping Mall Main Badal Gai Hai.


Sab Kuch Badal Sa Gaya Hai NaaZ.

Baada Dukh Hua Wahaan Ka Haal Dekh Kar,
Tumhare Bina Viraan Dekh Kar NaaZ.
[written by romil arora - copyright reserved]

"Tum Chali Aana....."

"Tum Chali Aana....."

Dost....Rabb Ke Ghar Main Jab Yaad Maire Aaye,
To Rukana Mat,
Mere Pass Wapas Laut Aana,

Faristhe ka Haath Pakadh Par,
Rani Ke Paalane Main Soote Hue Aana,
Agar Chand, Chandani Na De,
Toh Raasthe Main Darma Mat,
Apni Bandh Aankhoon Main Maire Surat Liye Bas Chali Aana,

Jab Rasthe Main Baadal Daaraye,
Toh Udaas Mat Hona,
Haawoon Ke Jhooke Par Haath Rakhate Hue,
Maire Naam Laite Hue Chali Aana,

Jab Tumko Doorie Bahut Laage,
Mann Saath Na De,
Rabb Ke Ghar Main Hi Khushi Mile,
Toh Mayush Mat Hona,
Wahi Rehana,
Khoob Khush Rehana,
Khoob Khelana,
Aur Chandi Ke Palang Main Aaram Karna..
Magar Jab Tumhein Maire Yaad Aaye,
To Rukana Mat,
Ghabrana Mat,
Mujhe Apna Samajhana,

Aur Dost Tum Chali Aana.....
[Written by Romil Arora - copyright reserved]

"Aankhon Main Ek Sapna Ban Kar Aa Jaana"

"Aankhon Mein Ek Sapna Ban Kar Aa Jaana"

Maine tumse kahan tha dost,
mujhe is tarah chhod kar mat jaana,
mujhe akela chhod kar mat jaana,
zindagi se ladna, kabhi bhi zindagi se naaraz mat hona,


jab jaana to mujhe neend se jaga jaana,
apne haalchal bata kar jaana.


aacha ab jab tum chali gaye ho to suno rab ke ghar mein khushi-khushi rehna,
jo meri yaad aaye to bas ek aawaz lagana,
aankhon se aansoo kabhi girne nahi dena,
naachana, geet gaana, aur mujhe duur se neharana.


jab tum rab ke ghar se dekho mujhe tanha,
bas aankhon mein ek sapna ban kar aa jaana.
[written by romil arora - copyright reserved]

"school ki yaadein........"

"school ki yaadein........"

Naaz chalo school ki yaadon main saath chale,

Kuch haanshe, kuch khele,


Yaad hai woh tumhara mujhe school jane ke liye aawaz lagana,

aur maira tab bistar se jagana,

woh tumhara gussa karna aur fhir maira sorry kehna.

school main hamara sabse pehle seat par baithana,

aur tumhara maire right main jabardasti baithana.


Hindi ki class main tumhara udaas hokar drawing karna,

aur fhir english ki class main maira udaas hokar us drawing main coloring karna.

Maths ki class main dono ka dimaag lagana,

Histroy ki class main historical character par acting karna,

Geography ki class main chand-taaron ke sapne dekhana.

Lunch time main saath baith kar khana khana,

Woh aaloo ke parathe, woh imali ki chatani.

Woh ice-cream aur churan ka thela,

Woh bhel-poori aur khatti-meethi toffee..


Saath main ghar wapas jana aur

rasthe bhar school ki bakwaas karna.

Yaad aaya dost... school ki yaadein...

[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, May 31, 2008

"Is Rishte Ka Kya Naam Du"

"Is Rishte Ka Kya Naam Du"


Jab zamane mujhse puchata hai kya lagti thi taire woh jo rabb ke ghar chali gaye.

Kyon rota hai uski yaadon main,

Kyon gumsum rehta hai,

Kyon ukhad jaata hai baaton main,

kyon rabb se dushmani karta hai....


Is rishte ka kya naam du naaz,

na dosti hai yeh,

na mohabbat hai yeh,

na chahat hai yeh,

na dillagi hai yeh.....

bas yeh rishta jo sajda hai ek-dusare ka,

pooja hai ek dusare ke,

dua hai ek dusare ke....

[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, May 28, 2008

"RAJ...... Naam Kaha tha Maira"


"RAJ...... Naam Kaha tha Maira"


Naam kaha tha maira,
ek ne “Aae” keh kar bula liya,
fhir kisi ne “Abey” keh diya,
phir ek ki juban se ‘Oye” sunaye diya,
“Suno jara” chaar log aur kehne lage,
Jis ko jee chaha us naam se mujhe bula liya.............

fhir tumse sadak ke nukkar par aachanak mulaqat hue,
“Raj” keh kar tumne mujhe bula liya...............


aaisa laga jaise subah-subah gulab ne aapne panchadi khole ho,
ooosh ki boond jaise thande badan par giri hu,
hawan jaise naadi ke paani ko chu kar likle ho,

bas tumhare diye naam ko lekar main
ek panchi ke tarah khule gagan main pankh fhailaye udata ja raha hu.......

kaha ja raha hu kuch pata nahi,
bas udata ja raha hu.....

DOST, udata hi ja raha huuuu bahut dur,

bahut dur...... bahut dur DOST main udata ja raha hu......
[written by romil arora - copyright reserved..inspired]

Tuesday, May 27, 2008

"Taira Sajda"


"Taira Sajda"
Na Daulat Se,
Na Shaurat Se,
Na Duniya Se,
Na Ghar Aabad Karne se,
Na Mandir, Na Masjid, Na Gurudware Jaane Se,
Tasalli Maire Dil Ko Milte Hai Taira Sajda Karne Se.
Taira Sajda Karne Se Dost!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tanha hu main

"tanha hu main"

Dost sach bahut tanha hu main, Laut aao aaj fir bahut tanha hu main, 
Tumne kaha tha DOSTI nahi marti, 
Isi baat par aaj tak fir zinda hu main, 
 Meri yaadon mein tu shamil hai sajde jaisa, 
Rab se pehle tera naam leta hu main, 
Kab tak dardon ko main sehta rahunga, 
Khud se teri baatein karta rahunga, 
 Us rab ke ghar ko chhodkar mere pass aa jao, 
Dost sach bahut tanha hu main, Laut aao aaj fir bahut tanha hu main...
[written by romil arora - copyright reserved]

"Dost tum kahan ho"



"Dost tum kahan ho"

Kuch rishte aise hote hai,
Jo kabhi bhulaye nahi jaate hai...
Na koi bandhan mein bandhe hote hai,
Na koi bandhan unko baand pata hai...
Har khushi mein,
Har gum mein,
Hamesha yaad aa jaate hai...
Dost tum kahan ho.......


Kyun rulaati ho mujhe?
Kyun bhool jaati ho mujhe?
Tere hi sahare to jee raha hun mein.
To phir kyun akela chhod kar chali gai?
Har baat ko chupana ataa tha tumko,
Mein ruthu to manana ataa tha tumko.
Mujhe samjhana aata tha tumko.
Dost tum kahan ho........

Woh Rab mera dushman hai,
Meri khushi ko dekh na saka kabhi,
Tujhe apne pass bula kar,
Mujhe akela chhod diya yahi,
Bachpan ki sab baatein mujhe yaad aati hai,
tumhare saath beetein har pal yaad aate hai,
har aansoo ki kahani,
har muskaan ki kahani mujhe yaad aati hai.
Ya keh do mujhe bhi marr jaane ko,
Ya mera saath dene aa jayo,
Beech raste mein kyun is tarah akela chhod diya?
kaho dost...kuch to kaho.....kuch to kaho dost......
Dost tum kahan ho........

kuch to batlaane aa jayo.
kya mein jeene ke bahane roz yuhi marta rahunga.
kuch to samjhane aa jayo...
Dost tum kahan ho.......

NaaZ tum kahan ho.......
NaaZ tum kahan ho.......
[written by romil arora - copyright reserved]