Showing posts with label yaad.... Show all posts
Showing posts with label yaad.... Show all posts

Monday, January 25, 2010

yaad aata hain...

woh kitaboon main
tera naam likhana
woh deewaron main
tera naam likhana
abhi bhi yaad aata hain...
***
woh nazare milana
nazare milakar, nazare churana
tere pehlu main masumiyat ke saath so jaana
tere jhoomke ke saath khelana
abhi bhi yaad aata hain... 
***
woh beeta hua pal
jis pal main sirf tum aur hum the
woh pal bahut yaad aata hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, December 29, 2009

yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main...


yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
sab sunate hain mooh ki baatein
koiye na jaane kya beeta hain mere saath main...
***
yunhi fhirta rehta hu...
***
raaton ko utha-utha kar darwaze par baith jaata hu main
lagta hain jaise chand se utar raha hain woh...
sadiyoon-sadiyoon yunhi khojata hua
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
***
woh mera aaina uski parchaiye hu main
ek hi kamre main qaid rehte hain dono
kabhi main kehta, sunti hain woh
kabhi woh kehti, sunta hu main...
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
***
ghantoon baitha rehta saagar kinare main
logon ko aate-jaate dekhata raha
tum nahi aaye milane mujhse
sadiyoon khamoosh gumsum sa raha main...
yunhi fhirta rehta hu mausam-e-barsaat main
apni yaadon ke jazbaat main...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, December 14, 2009

Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hain...

Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hain
Teri yaad daabe pao chali aati hain...
***
Kitna bhi chahu durr jaana inse
Saaya bankar yeh mere saath chali aati hain...
Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hain
Teri yaad daabe pao chali aati hain...
***
Lekar rakha hain maine saath andheron ka
Fhir bhi aankhon main aansoo ban kar chali aati hain...
Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hain
Teri yaad daabe pao chali aati hain...
***
Koiye puche to bataiye kya haal hua hain hamara 
Gum ke bahane na mile to Khushi ke bahane hi chali aati hain...
Zindagi shaam se hi barbaad ho jaati hain
Teri yaad daabe pao chali aati hain...
[written by romil arora - copyright reserved] 

Friday, December 11, 2009

Raat aayengi to yaadein bhi chali aayengi....

Raat aayengi to yaadein bhi chali aayengi
Zindagi humpar kuch is tarah bhi muskurayengi...
~*~
Khud se kehte phirenge haal-e-dil apna
Deewarein humse lipath kar aansoo bahayengi...
~*~
Raat aayengi to yaadein bhi chali aayengi....
~*~
Yunhi kaath jayegi raat apni
raat bhar teri hi baatein kaano main gungunayengi...
~*~
Raat aayengi to yaadein bhi chali aayengi...
~*~
Humse puchate hain log hamari raaton ka manzar
hoonth na bolenge kuch
aankhen daastan sunayengi...
~*~
Raat aayengi to yaadein bhi chali aayengi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, December 9, 2009

tere jaane ke baad bhi yeh zindagi rahegi...

tere jaane ke baad bhi yeh zindagi rahegi
dil main yaadon ki ek chadar lipati rahegi...
~*~
tere jaane ke baad bhi yeh zindagi rahegi...
~*~
aayenge din fhir se baahar ke
khushiyoon ke phool fhir se khilenge
hoonton par muskaan kheelati rahegi
aankhon main aansoo ki parat jami rahegi..
~*~
tere jaane ke baad bhi yeh zindagi rahegi...
dil main yaadon ki ek chadar lipati rahegi... 
~*~
har savera hoga roshan
mehfile hi mehfile sajeyengi
magar jab honge tanha hum
dil main yaadon ki talvaarein chalengi...
~*~
tere jaane ke baad bhi yeh zindagi rahegi...
dil main yaadon ki ek chadar lipati rahegi...
~*~
kaun jaane yeh zindagi hain kya
saansein bas chalti rahengi
kisi ke saath hota hain andhera chandani raaton main bhi
yunhi naseebon ki baatein chalti rahengi...
~*~
tere jaane ke baad bhi yeh zindagi rahegi...
dil main yaadon ki ek chadar lipati rahegi...
[written by romil arora - copyright reserved]

meri yaad aayegi...

jab bhi shaama jalaogi  meri yaad aayegi...
parvana koiye jalega
meri yaad aayegi...
***
jab bhi shaama jalaogi
meri yaad aayegi...
***
chup-chup kar na rona
ghar ki char-deewari ke saath
jab-jab aansoo bahaogi
meri yaad aayegi...
***
jab bhi shaama jalaogi
meri yaad aayegi...
***
kehna na fhir kisi se tum haal dil-e-beqaraar ka
jab-jab haal-e-dil sunaogi
meri yaad aayegi...
***
jab bhi shaama jalaogi
meri yaad aayegi...
***
durr se baadalon ke beech dekhata hu chand
jab-jab tumhari ghar chandani aayegi
meri yaad aayegi...
***
yunhi na parchaiyoon ke saath karna baatein
jab-jab andhere ke saaye main jayogi
meri yaad aayegi...
***
jab bhi shaama jalaogi

meri yaad aayegi...
parvana koiye jalega
meri yaad aayegi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, November 27, 2009

yaadon ke ghar...

jab bhi yaadon ke ghar se guzarata hu
zuban par aa jata hain naam tera...
***
har pal teri hi umeed main khoya rehta hu
kisse puchu, kaun batayega kya hain haal-e-dil tera...
***
woh zamana, woh mohabbat bahut yaad aati hain
"SHEE" meri baaton main raat bhar jagana tera...
***
zamane ki khaak channe ke baad mili thi manzil mujhko
"GUNN" mere khatoon ko padh kar muskurana tera...
***
apni qismat par naaz karta tha
naseeb ko chuum liya karta tha
"NAAZ" mujhe jab apna kehna tera...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, November 16, 2009

YAADON NE ITNA DARD DIYA...

MANZIL BHI KAREEB NAHI,
KANTON NE RASTON PAR CHALNA MALAL KAR DIYA
NAAZ KI YAADON NE ITNA DARD DIYA
KI JEENA DUSHWAAR KAR DIYA!
~*~
JUDA HOTE HUE BHI GALE NA MIL SAKA
BAAHON KO MERI ZANJEER-E-HAAR KAR GAYA
NAAZ KI YAADON NE ITNA DARD DIYA
KI JEENA DUSHWAAR KAR DIYA!
~*~
MAUT KI DASTAK SUNAI DE RAHI HAI
KAANO MEIN ABHI TAK
KOI MOHABBAT KA GHAR SUNSAN KAR GAYA
NAAZ KI YAADON NE ITNA DARD DIYA
KI JEENA DUSHWAAR KAR DIYA!
~*~
EK UMAR BEET GAI USKI YAADON MEIN JAAGTE HUE ROMIL
MERI AANKHON KO INTEZAAR-E-YAAR KAR GAYA
NAAZ KI YAADON NE ITNA DARD DIYA
KI JEENA DUSHWAAR KAR DIYA!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Saturday, November 14, 2009

tera sitam umar bhar yaad rahega...

kuch na yaad rahe mujhko
teri ruksati ka din jarur yaad rahega
woh makaan,
woh bebasi ka din jarur yaad rahega...
_________
hum aag ke gole se jal rahe the
woh haawaon ka din bhar zor-zor se chalana yaad rahega...
_________
kiske saath lipath kar rote
kisse apna dard kehte
na koiye apna tha
na koiye paraya
ho gaye zindagi tanha yaad rahega...
__________
na tu mili
na teri kabr mili
naaz mujhe yeh tera sitam umar bhar yaad rahega...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, November 7, 2009

har manzar mujhko yaad hain...

yaad hai... mitti ke woh chote-chote ghar banana geele-geele haathon ko tere dupatte se pochana
pani ki boondon se ek dusare ko nehlana
titliyon ke peeche bhagate hue jaana...
kitne din beeth chuke hain
lekin fhir bhi har manzar mujhko yaad hai...
***
yaad hain... sketch pen se tere maathe par bindi banana
apni hatheli par tera naam likhana
tere haathon ki katori main pani peena
pairon ke nishaan par tere chalte jaana...
kitne din beeth chuke hain
lekin fhir bhi har manzar mujhko yaad hain...
***
yaad hai... apne chehare ko tere dupatte se dhak kar
neem ke paid ke neeche so jana
tere school bag ka pillow banana
neem ki tehni se tera, mere kaano ko gudgudana...
kitne din beeth chuke hai
lekin fhir bhi har manzar mujhko yaad hai...
har manzar mujhko yaad hai...

#Romil

याद है... मिट्टी के वह छोटे-छोटे घर बनाना 
गीले-गीले हाथों को तेरे दुपट्टे से पोछना 
पानी की बूंदों से एक दूसरे को नहलाना 
तितलियों के पीछे भागते हुए जाना... 
कितने दिन बीत चुके हैं 
लेकिन फिर भी हर मंज़र मुझको याद है...

याद है... स्केच पेन से तेरे माथे पर बिंदी बनाना 
अपनी हथेली पर तेरा नाम लिखना 
तेरे हाथों की कटोरी में पानी पीना 
पैरों के निशान पर तेरे चलते जाना...
कितने दिन बीत चुके हैं 
लेकिन फिर भी हर मंज़र मुझको याद है...

याद है... अपने चेहरे को तेरे दुपट्टे से ढ़क कर नीम के पेड़ के नीचे सो जाना 
तेरे स्कूल बैग का पिल्लो बनाना 
नीम की टहनी से तेरा, मेरे कानों को गुदगुदाना...
कितने दिन बीत चुके हैं 
लेकिन फिर भी हर मंज़र मुझको याद है...
हर मंज़र मुझको याद है...

#रोमिल

Friday, November 6, 2009

aaj bhi yaad hai mujhko...

aaj bhi yaad hai mujhko...NAAZ...
tera apne baalon ka khula chodna mere liye...
haathon mein mehandi sajana mere liye...
woh mere naam ka kangan pehnna
fursat ke palon mein usko chumna...
aaj bhi yaad hai mujhko...naaz...
aaj bhi yaad hai mujhko...naaz...
*
raat mein jab neendon ke safar mein tera jaana
mujhko takiya samajkar apni baahon mein samet lena...
paidal yuhi dur talak humdono ka bina bole chalte jana
tera apne dupatte ko ungaliyon mein lapetate rehna...
aaj bhi yaad hai mujhko woh pal...naaz...
dost aaj bhi yaad hai mujhko woh pal...

#Romil

आज भी याद है मुझको...
तेरा अपने बालों का खुला छोड़ना मेरे लिए...
हाथों में मेहंदी सजाना मेरे लिए...
वो मेरे नाम का कंगन पहनना...
फुर्सत के पलों में उसको चूमना...
आज भी याद है मुझको...
आज भी याद है मुझको...

रात में जब नींदों के सफ़र में तेरा जाना...
मुझको तकिया समझकर अपनी बाहों में समेट लेना...
पैदल यूँही दूर तलक हमदोनों का बिना बोले चलते जाना...
तेरा अपने दुपट्टे को उंगलियों में लपेटते रहना...
आज भी याद है मुझको वो पल...
दोस्त आज भी याद है मुझको वो पल...

#रोमिल

Thursday, November 5, 2009

YAAD HAIN WOH PAL...

YAAD HAIN WOH PAL
JO SAATH HUMNE-TUMNE
BETAIYE THE...
~*~
WOH PATANG UDANA
WOH NAANGE PAON GHAAS PAR BHAGNA
WOH LAIYAA-CHAANA CHABANA
WOH HAATH PAKAD KAR JOR-JOR SE CHILLANA..
YAAD HAIN WOH PAL
JO SAATH HUMNE-TUMNE
BETAIYE THE...
~*~
COPY MAIN CHUP-CHUP KE LETTER BHEJANA
BLACK BOARD PAR TEACHER KI TASVEER BANANA
KAAGAZ KA PLANE CLASS MAIN UDANA
DEEWARON PAR SKETCH COLOUR SE DRAWING BANANA
YAAD HAIN WOH PAL
JO SAATH HUMNE-TUMNE
BETAIYE THE...
~*~
NEEM KA PED JO MERE GHAR KE PASS THA
USPAR HUMNE KITNE JHUULE SAATH JHULE THE...
YAAD HAIN...
PAIDAL CHALTE-CHALTE
KITNE RAASTE HUMNE FOOTBALL KHELE THE...
YAAD HAIN...
AASMAAN MAIN KITNE TAARE SAATH
HUMNE GINE THE
YAAD HAIN...
YAAD HAIN WOH PAL
JO SAATH HUMNE-TUMNE
BETAIYE THE...


NAAZ YAAD HAIN...


[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Monday, September 28, 2009

tere gum ko yaad na kare...

tere gum ko yaad na kare to kya kare
ek gum hi to hai tera diya hua!

#Romil

तेरे ग़म को याद ना करें तो क्या करे...
एक ग़म ही तो है तेरा दिया हुआ!

#रोमिल

Friday, September 25, 2009

yaad

"sab kuch to mita chuka hu romil
bas ek naam hain uska jo mitata hi nahi"
*
"usme wafa nahi, bewafa hi sahi romil,
magar woh yaad bahut aati hain"
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, September 24, 2009

yaadon

uski yaadon main jitni bhi jaagi hain raatein maine romil
khuda kare uski umar utani aur baadh jaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, September 16, 2009

wajah-e-tanhai

yaadon mein chirag-e-dil jalta raha sari raat
hum wajah-e-tanhai kisi ko bata na sake...
~*~
faisala-e-ishq humko manzoor tha unka
hum toote hue khawab kisi ko dikha na sake....
~*~
daman-e-yaar ki aarzoo thi apni
hum jala hua haat chhupa na sake...
~*~
aarzoo thi ki unki nazron ke noor bane
hum apne aansoo bahane se bacha na sake...
~*~
yaadon mein chirag-e-dil jalta raha sari raat
hum wajah-e-tanhai kisi ko bata na sake...

#Romil

यादों में चिराग-ए-दिल जलता रहा सारी रात 
हम वजह-ए-तन्हाई किसी को बता ना सके... 

फैसला-ए-इश्क तुमको मंजूर था उनका 
हम टूटे हुए ख्वाब किसी को दिखा ना सके... 

दामन-ए-यार की आरजू थी अपनी 
हम जला हुआ हाथ छुपा ना सके...

आरजू थी कि उनकी नजरों के नूर बने 
हम अपने आंसू बहाने से बचा ना सकें...

यादों में चिराग-ए-दिल जलता रहा सारी रात 
हम वजह-ए-तन्हाई किसी को बता ना सके...

#रोमिल

Thursday, July 30, 2009

tab bhi tum itna hi yaad aaogi...

shaam ke dhalte mausam ko dekhkar
mann mein khayal aane laga...

"jab main bhuddha ho jayunga
aankhon mein chashma lagayunga
chehare par jhurriya pad jayengi
baal sab safeed ho jayenge
haath-pair bhi tezi na dikha payenge
daanth bhi aakhroth na tood payenge"

tab bhi tum itna hi yaad aaogi...
tab bhi tum itna hi yaad aaogi...
[written by romil - copyright reserved]

शाम के ढलते मौसम को देखकर
मन में ख़्याल आने लगा...

"जब मैं बुड्ढ़ा हो जाऊँगा
आँखों में चश्मा लगाऊँगा
चेहरे पर झुर्रियां पड़ जाएँगी
बाल सब सफ़ेद हो जायेंगे
हाथ-पैर भी तेज़ी न दिखा पायेंगे
दाँत भी अखरोठ न तोड़ पायेंगे"

तब भी तुम इतना ही याद आओगी...
तब भी तुम इतना ही याद आओगी...
[written by romil - copyright reserved]

Thursday, July 23, 2009

waqt ki gehraiyoon main

waqt ki gehraiyoon main tumko yaad rakhe hua main

jaise koiye kitabon main zindagi ko qaid karta hua...

~*~

yaad aata hain woh beeta hua subah-shaam ka mausam

jab tum titliyoon ke peeche bhagha karti thi...

woh tumhare paaoon ke nishan ab tak un gheeli mitti par pade hue hain

jisme main tumko subah-shaam dhundhata hua...

~*~

pehle tumhare khat aate rehte the

in saanson ko jaise koiye raahat mil jaya karti thi

un khaton ko main seene se laga laita tha

raat main sote hue un khaaton ko apne jism main chupa laita tha

jaise koiye moor pankhon ko kitaboon main chupa laita hain

ab to bahut din hue taire khatoon ko mile hue

aaj bhi wahi pyar ka ehsaas main talasta hua...

~*~

ek arsha hua tumhari aawaz ko sune hue

tera woh khil-khila kar baatein karna

woh dheemhe se aansoon ko gira dena

bahut din beeth gaye

teri aawaaz ki boondon main bheegha nahi hu main

aaj bhi un boondon ko mehsus karta hua...

~*~

waqt ki gehraiyoon main tumko yaad rakhe hua main

jaise koiye kitabon main zindagi ko qaid karta hua...

[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, July 13, 2009

bade yaad aate hain..

bade yaad aate hain

woh saawan

woh jhule

woh muskaan tumhari...

~*~

bade yaad aate hain

woh baatein

woh raatein

woh chand, sitare...

~~~

kitni durr ho tum

fhir bhi lagti kitni pass ho tum

dekho yeh duri yeh majboori

ab hain saath hamare-tumhare

baade yaad aate hain

woh intezaar ke pal

woh chup-chup kar rona

woh dair se aane ki ada tumhare...

~*~

sabko chod kar chale gaye tum

reh gaye yaade saari

kitna pal-pal rulati hain woh baatein tumhare

baade yaad aate hain

woh pal

woh lamhe

woh shaharate tumhari...

[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, July 3, 2009

yaad karogi...

jab dekhogi kisi ko pyar karte hue
mera pyar yaad karogi...
~*~
chup-chup kar royogi takiyee se lipath kar
meri waafaiyeen yaad karogi...
~*~
duniya hasegi tumhari haalat dekhkar
kis-kisse fariyad karogi...
~*~
jab chahogi mera saath fhir se
apni bewafai yaad karogi...
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]