Tuesday, June 3, 2008

"Kuch Nahi Bhoola Hoon Main"

"Kuch Nahi Bhoola Hoon Main"

Janta Hoon Dost.. 5:00 pm Ho Gaye Hai,
Park Main Khelane Aane Ke Liye,
Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main.

Har Kaam Karney Main,
Hamesha Dair Kar Daita Hoon Main.

Mujhe Tennis Khelana Nahi Pasand Dost,
Bore Ho Jaata Hoon Main.
Chalo Cricket Khelate Hai Dost,
Tum Bating Karo, Ball Karta Hoon Main.

Aacha Tum Ab Aaram Karo,
Mujhe Apni Cycle Do,
Ab Kuch Dair Cycling Karta Hoon Main.
Park Se Wapas Ghar Tumhare Saath Chalunga Main,
Kuch Time Abhishek Ke Yaahan Study Karunga Main.
Dekha Naaz, 14 yrs. Beet Chuke Hai,
Fhir Bhi Kuch Nahi Bhoola Hoon Main. Hain Na...
[written by romil arora - copyright reserved]

"Bahut Kuch Badal Gaya Hai...."

"Bahut Kuch Badal Gaya Hai...."

Hamare Lucknow Ka Insaan Kitna Badal Gaya Hai,
Daulat Hi Ab Uske Liye Rabb Ban Gaya Hai.


Daulat Ho Pass Aata Dekh Woh Dost Ban Jaata Hai,
Daulat Ho Durr Jaata Dekh Woh Dushman Ban Jaata Hai,
Chehare Main Haiwaniyat aur Aankhon Main Khauuf Rakhata Hai.


Aap Jante Ho Dost.. Hamare Lucknow Ka Insaan Kitna Badal Gaya Hai.


Pyar Sirf Daulat Ka Roop Ban Kar Reh Gaye Hai,
Jism aur Daulat Ki Hawas Main Hamare Lucknow Ki Duniya Kahi Khoo Gaye Hai.
Mandir/Majzid/Gurudware/Church Main Log Keval Darr Kar Jaate Hai,
Sharaddha aur Vishwas Ke Phool Tooth Gaye Hai....


Janta Hu Dost.. Aap Sab Kuch Jante Honge,
Rabb Ke Ghar Se Sab Kuch Niharate Honge,
Dukh Bahut Hota Hoga Na,
Ki Kitna Kuch Badal Gaya Hai.
Sach Main Dost Bahut Kuch Badal Gaya Hai....
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, June 2, 2008

Gulam Se Gulfam Ho Raha Hu

"Gulam Se Gulfam Ho Raha Hu"

Kuch Pal Ki Liye Tumko Bhool Gaya Tha Dost

Mujhe Maaf Karna,

Mohabbat Ki Jhooti Duniya Mein Kho Gaya Tha DostM

Mujhe Maaf Karna,

Nahi Janta Tha, Sab Dhokha Dene Wale Hi Baache Hai Is Duniya Main Dost

Mujhe Maaf Karna,

Tum Khafa Mat Hona

Magar Dost Ab Jab Tum Saath Ho Mere,

To Fir Mujhe Kisi Cheez Ki Kami Hai,

Tera Sajda Karna Hi To Ab Meri Zindagi Hai,

Tere Sajde Se Hi To Main,

Gulam Se Gulfam Ho Raha Hu!

[written by romil arora - copyright reserved]

"Aaj fhir Main Unhi Galiyoon Main Gaya"


"Aaj fhir Main Unhi Galiyoon Mein Gaya"


Aaj fhir Main Unhi Galiyoon Mein Gaya,
Jin Galiyon Mein Dost,
Hum-Tum Bachpan Bitaya Karte The.


Baada Dukh Hua Wahaan Ka Haal Dekh Kar,
Tumhare Bina Sab Kuch Viraan Dekh Kar.

Tumhare Ghar Main Laaga, Raat Ki Rani Ka Pedh Murjha Sa Gaya Hai,
Bandh Khidkiyon Ho Haawein Kholna Cha Rahi Hai,
Dhoop Tumhare Ghar Ke Bahar Se Hi Laut Aa Rahi Hai.

Woh Gali Ke Nukkar Ka Neem Ka Pedh Kisi Ne Kaanth Diya Hai.
Woh Handpump Jisme, Hum-Tum Latak-Latak Kar Paani Piya Karte The, Woh Sukha Pada Hai.
Choti Si Rashan Ki Dukaan, Ab Baade Se Shopping Mall Main Badal Gai Hai.


Sab Kuch Badal Sa Gaya Hai NaaZ.

Baada Dukh Hua Wahaan Ka Haal Dekh Kar,
Tumhare Bina Viraan Dekh Kar NaaZ.
[written by romil arora - copyright reserved]

"Tum Chali Aana....."

"Tum Chali Aana....."

Dost....Rabb Ke Ghar Main Jab Yaad Maire Aaye,
To Rukana Mat,
Mere Pass Wapas Laut Aana,

Faristhe ka Haath Pakadh Par,
Rani Ke Paalane Main Soote Hue Aana,
Agar Chand, Chandani Na De,
Toh Raasthe Main Darma Mat,
Apni Bandh Aankhoon Main Maire Surat Liye Bas Chali Aana,

Jab Rasthe Main Baadal Daaraye,
Toh Udaas Mat Hona,
Haawoon Ke Jhooke Par Haath Rakhate Hue,
Maire Naam Laite Hue Chali Aana,

Jab Tumko Doorie Bahut Laage,
Mann Saath Na De,
Rabb Ke Ghar Main Hi Khushi Mile,
Toh Mayush Mat Hona,
Wahi Rehana,
Khoob Khush Rehana,
Khoob Khelana,
Aur Chandi Ke Palang Main Aaram Karna..
Magar Jab Tumhein Maire Yaad Aaye,
To Rukana Mat,
Ghabrana Mat,
Mujhe Apna Samajhana,

Aur Dost Tum Chali Aana.....
[Written by Romil Arora - copyright reserved]

"Aankhon Main Ek Sapna Ban Kar Aa Jaana"

"Aankhon Mein Ek Sapna Ban Kar Aa Jaana"

Maine tumse kahan tha dost,
mujhe is tarah chhod kar mat jaana,
mujhe akela chhod kar mat jaana,
zindagi se ladna, kabhi bhi zindagi se naaraz mat hona,


jab jaana to mujhe neend se jaga jaana,
apne haalchal bata kar jaana.


aacha ab jab tum chali gaye ho to suno rab ke ghar mein khushi-khushi rehna,
jo meri yaad aaye to bas ek aawaz lagana,
aankhon se aansoo kabhi girne nahi dena,
naachana, geet gaana, aur mujhe duur se neharana.


jab tum rab ke ghar se dekho mujhe tanha,
bas aankhon mein ek sapna ban kar aa jaana.
[written by romil arora - copyright reserved]

"school ki yaadein........"

"school ki yaadein........"

Naaz chalo school ki yaadon main saath chale,

Kuch haanshe, kuch khele,


Yaad hai woh tumhara mujhe school jane ke liye aawaz lagana,

aur maira tab bistar se jagana,

woh tumhara gussa karna aur fhir maira sorry kehna.

school main hamara sabse pehle seat par baithana,

aur tumhara maire right main jabardasti baithana.


Hindi ki class main tumhara udaas hokar drawing karna,

aur fhir english ki class main maira udaas hokar us drawing main coloring karna.

Maths ki class main dono ka dimaag lagana,

Histroy ki class main historical character par acting karna,

Geography ki class main chand-taaron ke sapne dekhana.

Lunch time main saath baith kar khana khana,

Woh aaloo ke parathe, woh imali ki chatani.

Woh ice-cream aur churan ka thela,

Woh bhel-poori aur khatti-meethi toffee..


Saath main ghar wapas jana aur

rasthe bhar school ki bakwaas karna.

Yaad aaya dost... school ki yaadein...

[written by romil arora - copyright reserved]