Monday, January 11, 2010

mann mein sharaddha bhar le...

woh pooja bhi kaisi pooja
jisme sharaddha na hoye
baade-baade mandir mein
bhakt na aaye koi...
***
roz-roz japta rahe ram ka naam
par ram ka darshan na hoye
mara-mara keh kar bhi likh di ramayan
valmiki ki sharaddha aisi hoye...
***
bin mandir bhi ghanshyam dekhe
meera thi aisi diwani.

bin aakhiyan ke krishna dikhe
surdas ke mann ki aankhen suhani.

bin guru-darshan hi dhanudhar bane
aklavya ki bhakti nirali.

mann mein sharaddha bhar le
prem-pooja ki yahi hai nishani...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, January 9, 2010

waafadar se bewafai karna galat hota hain...


waafadar se bewafai karna galat hota hain
is zamane main bahut kaam ke pass waafa ka hunar hota hain...
***
khushi to dikhati hain roshani ke maakano main
gum ka bhi apna aashiana hota hain...
***
yunh to bik jaate hain har rishtee is zamane main
magar kahan daulat se mohabbat ka sauda hota hain...
***
kehte hain zamane wale usko paagal
kahan sabko mohabbat ka rog pata hota hain...
***
tanha rehna to uska muqaddar hain
mehfilon se kahan dil ka behalna hota hain...
***
chod kar chal diya woh saath sabka
intezaar ka aakhir yahi sila hota hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, January 4, 2010

jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain


jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain
humko unka khayaal aata hain
apna diwana pan yaad aata hain
unka husn yaad aata hain.
jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain...
***
jalti hue aag ke samne
jalte hue do badan yaad aate hain...
kabhi unka nazarein jhukana yaad hain
kabhi nazaron se teer chalana yaad aata hain.
jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain
humko unka khayal aata hain...
***
kehne ko to bahut baatein thi
magar laboon ka thar-tharana yaad aata hain
kabhi unka kuch kehte-kehte rukh jaana yaad aata hain
kabhi hamara mishri ki tarah baatein bolana yaad aata hain...
jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain
humko unka khayal aata hain...
***
har lamha bahut tarfhata hain
pal-pal yaad dilata hain
jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain
chehare se zulfoon ko hatana yaad aata hain
sharam se pairon ko daaman main chupana yaad aata hain
makhmali haaton main churiyoon ka khan-khanana yaad aata hain
woh ungaliyoon se zameen par harkatein karna yaad aata hain..
jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain
humko unka khayal aata hain...
apna diwana pan yaad aata hain
unka husn yaad aata hain.
jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain...
[Written by Romil Arora - Copyright Reserved]

PUCHO NA MOHABBAT NE KAISA HAAL KIYA...


PUCHO NA MOHABBAT NE KAISA HAAL KIYA
APNA TO JEENA HI MOHAAL KIYA...
***
PEHLE SOYE REHTE THE HUM CHAIN-O-SUKOON SE
USNE TO HUMKO KHAWABON KA GHULAM KIYA...
***
HUMKO USSE BEWAFAI KI UMEEDH NA THI
MAGAR USNE BHI BEWAFAI KA KAAM KIYA..
***
NA-MUMKIN THA MERE CHEHARE PAR UDASI AANA
YEH KAAM BHI USNE AASAN KIYA...
***
BAADE NAAZ SE FHIRTE THE APNE SHEHAR MAIN
USNE TO HAMARA GHAR SE NIKALNA MOHAAL KIYA...
PUCHO NA MOHABBAT NE KAISA HAAL KIYA
APNA TO JEENA HI MOHAAL KIYA..
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Sunday, January 3, 2010

saahil ke kinare ek shaks...

saahil ke kinare ek shaks
khoya-khoya sa tumko mila hoga..
jab mohabbat ka zikr uske samne cheeda hoga
to saagar main bhi ek toofan utha hoga...
***
likh kar khat saagar main dal raha hoga
rait par kisi ka naam likh raha hoga...
saahil ke kinare ek shaks
khoya-khoya sa tumko mila hoga...
***
jab nazaron ki taraf uske dekhoge
to saadiyoon ka intezaar jaise chipa hoga
sab to chale jaate honge saahil ko tanha chod kar
woh zameen par chand ke utarane ka intezaar karta hoga...
saahil ke kinare ek shaks
khoya-khoya sa tumko mila hoga...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, January 2, 2010

PUCHO NA ISHQ NE KAISE-KAISE DIN DEKHAIYE...

PUCHO NA ISHQ NE KAISE-KAISE DIN DEKHAIYE
KUCH TO UNKI MOHABBAT NE BADNAAM KAR DIYA
KUCH TO SITAM APNO NE DHAYE.
PUCHO NA ISHQ NE KAISE-KAISE DIN DEKHAIYE...
***
CHUP-CHUP KAR RONA CHAHA
TO ROSHANI NE RONE NA DIYA
UNKA NAAM LENA CHAHA
TO DUNIYA-WALON NE LENE NA DIYA
DIL TO CHAHATA RAHA KI MARR JAYE
MAGAR UNKE VAADE NE MARNE KA DIYA
PUCHO NA ISHQ NE KAISE-KAISE DIN DEKHAIYE
KUCH TO UNKI MOHABBAT NE BADNAAM KAR DIYA
KUCH TO SITAM APNO NE DHAYE.
***
NA KISI SE GILA
NA SHIKWA KISI SE KAR PAYE
GHUT-GHUT KAR ROZ MARATE RAHE
KISI SE FARIYAAD NA KAR PAYE
UNKI YAADEIN KAATON KI TARAH
DIL KO CHANNI KARTI RAHI
HUM UFF TAK NA KAR PAYE.
PUCHO NA ISHQ NE KAISE-KAISE DIN DEKHAIYE
KUCH TO UNKI MOHABBAT NE BADNAAM KAR DIYA
KUCH TO SITAM APNO NE DHAYE.
***
PAGAL KEHNE LAGE DUNIYA-WALE HUMKO
NAZARE TAK HUMSE LAGE CHURANE
JEENA ITNA MOHAAL KAR DIYA
KI SHEHAR MAIN REH NA PAYE.
PUCHO NA ISHQ NE KAISE-KAISE DIN DEKHAIYE
KUCH TO UNKI MOHABBAT NE BADNAAM KAR DIYA
KUCH TO SITAM APNO NE DHAYE...
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

ishq ka rog bhi aisa hota hai...

tanha-tanha firte rehte hai
dard mein bhi muskurate rehte hai
ishq ka rog bhi aisa hota hai romil
jisse dhokha mile usi ko dua dete rehte hai...
***
kehne ko to sab pagal kaha karte hai
woh dil ki baaton mein hi khoye rehte hai
ishq ka rog bhi aisa hota hai romil
jisse milti hai thokar usi ko sahara diya karte hai...
***
puccho to haal
kehte hai sab qaram mehboob ka hai
muflisi ki haalat mein bhi ameer bane rehte hai
ishq ka rog bhi aisa hota hai romil
jisse milti hai berukhi usi ko apna khuda kehte rehte hai...
***
ho jaate hai ruksat zamane se
mehboob ko badnaam nahi hone dete hai
ishq ka rog bhi aisa hota hai romil
janaza uthne tak mehboob ka intezar kiya karte hai...
tanha-tanha firte rehte hai
dard mein bhi muskurate rehte hai
ishq ka rog bhi aisa hota hai romil
jisse dhokha mile usi ko dua dete rehte hai...

#Romil

तन्हा-तन्हा फिरते रहते हैं 
दर्द में भी मुस्कुराते रहते हैं 
इश्क का रोग भी ऐसा होता है रोमिल 
जिससे धोखा मिले उसी को दुआ देते रहते हैं 

कहने को तो सब पागल कहा करते हैं 
वह दिल की बातों में ही खोए रहते हैं
इश्क का रोग भी ऐसा होता है रोमिल 
जिससे मिलती है ठोकर उसी को सहारा दिया करते हैं

पूछो तो हाल
कहते हैं सब कर्म महबूब का है 
मुफ़्लिजी मुफ़्लिजी की हालत में भी अमीर बने रहते हैं
इश्क का रोग भी ऐसा होता है रोमिल 
जिसे मिलती है बेरुखी उसी को अपना खुदा कहते रहते हैं... 

हो जाते हैं रुख़सत जमाने से 
महबूब को बदनाम नहीं होने देते हैं 
इश्क का रोग भी ऐसा होता है रोमिल 
जनाजा उठने तक महबूब का इंतजार किया करते हैं
तन्हा-तन्हा फिरते रहते हैं 
दर्द में भी मुस्कुराते रहते हैं 
इश्क का रोग भी ऐसा होता है रोमिल 
जिससे धोखा मिले उसी को दुआ देते रहते हैं

#रोमिल