All my posts dedicated to My Rab NaaZ... Bas is tarah mohabbat ki namazein ada kar leta hun, naam NaaZ ka zameen pe likh sajda kar leta hoon... Written By ROMIL.COPYRIGHT RESERVED to http://www.sunny-raj.blogspot.com and writer!
Saturday, June 28, 2008
Bewafa kabhi wafa nahi karte.....
kaise keh do ki tu bewafa hai......
Har apna aaj kal mujhse khafa hai,
Sabki juban par bas mere khata ka silsila hai,
Jab tha nahi main tere kaabil,
Fhir kaise keh do ki tu bewafa hai!
[written by romil arora - copyright reserved]
Wafa kya hoti hai....
Us bewafa ko kya khabar...
Sanam ka Ehsaas
kuch dil ke alfaaz...
Gum-e-Mohabbat
dil ki baatein....
Friday, June 27, 2008
haal-e-dil
Janta hu ek din manzil ko pa jaunga,
magar shayad rishton ki deewaron ko tod jaunga,
ek din tanha main sahil par baitha honga,
aur apni akeli gumsum manzil ko dekh kar muskuraunga!
Jab woh thi nahi apni fir usse mohabbat kyon hai?
Itne dhokhe khaye hai maine uski mohabbat mein,
fir bhi zalim uska intezar kyon hai?
kaash tum meri dhadkan ko sun pati,
mohabbat kya hai yeh pehchan pati,
yeh bad-nasebi to hai hamari,
jo hamari dil todkar tum gair ki baahon mein so jaati!
Mujhse door jaane ki majboori kya thi unki
mujhko bataya to hota,
bewafai kyon ki unhone mujhe kaash yeh samjhaya to hota,
unke liye to hum apni jaan bhi de dete muskurate hue,
yeh unhone dil-e-khawaish batai to hoti!
Intezaar-e-mohabbat
Udas chehar ko fhir se khila do....

Udas chehar ko fhir se khila do....
Tumse kehta hu main,
mujhe lautha do maire muskurahat,
Udas chehar ko fhir se khila do....
Ab to aaisa lagta hai jaise,
chand main chandani na ho,
mausam main aawaragi na ho,
phoolon main khusboo na ho,
panchiyoon main jaise aawaz na ho.....
Udaas chehar fhir se khila do,
khila do maira udaas chehara fhir se,
ab yeh veeraniya mujhe pasand nahi hai..
Rabb ka wasta hai tumko,
maire fariyad hai tumse,
ab na mujhko aur satao,
khila do maira udaas chehara fhir se,
ek baar mujhse milane tum aa jayo!
ek baar fhir apna chehara mujhe dekha jayo!
ek baar fhir apni aawaz mujhko suna jayo!
Tumse kehta hu main,
mujhe lautha do maire muskurahat,
Udas chehar ko fhir se khila do....
[written by romil arora - copyright reserved]
Us pyar ki kya baat ho!
Thursday, June 26, 2008
Shayari-e-dil
Jo log mohabbat ko jante honge....

Itni taraf, jisne dekhi hogi maire alfaazo main,
Woh tujhe maira rabb mante honge!
Maire tanha aankhen jab kisine dekhe hongi,
Intezaar ki hadh kya hogi samajhate honge!
Dekh kar shama main jalate hue parwane ko,
Log mohabbat ka naateza jante honge!
Dil-e-Alfaaz
Wednesday, June 25, 2008
yeh rishte...
is zindagi mein tumhari kami si hai...
mujhe is jahan se chale jana hai....
Monday, June 23, 2008
Na jaane woh kyon?
Kaun mera hai jo mere saath chalega.
Sunday, June 22, 2008
aur main raat bhar jaagta raha.
Koi hota jisko hum apna kehte...
Koi hota jisko hum apna kehte...
Jiske mann mein ek ehsaas ban kar rehte,
Jiske aankhon mein khawab ban kar rehte,
Suhane mausam mein yaad ban kar rehte,
Koi hota jisko hum apna kehte...
Jo mere liye sapne bunta,
Makhmali chaadar mein lipatkar baahon mein bharta,
Main roothata to woh mujhko manata,
Koi hota jisko hum apna kehte...
Jo mujhe apna pyar kehta,
Apna yaar, dil-e-beqarar kehta,
Jo apni aarzoo, apna sanam kehta,
Koi hota jisko hum apna kehte...
Jo mere liye dua mangata,
Jo gum mein mujhe khushi deta,
Jo saari duniya se juda hokar bhi mera apna rehta,
Koi hota jisko hum apna kehte...
Main uske liye beqarar rehta,
Usse milne ke liye tahna rehta,
Yeh yaadon ka silsila zindagi bhar chalta rehta,
Koi hota jisko hum apna kehte...
[written by romil arora - copyright reserved]
Aisi ada sirf MAA ke pass hoti hai...
Saturday, June 21, 2008
tab humne....
Jab khushiyon ne na diya sahara mujhko,
Tab humne dard ka sahara le liya,
Jab apno ne maira saath chod diya,
Tab humne gairon ka saath kar liya,
Jab phoolon ki shejh nahi mili mujhko,
Tab humne kantoon par sona seekh liya,
Jab lagi, zindagi daman chudane apna,
Tab humne maut ka daman tham liya...
fhir se yeh dil lagaya nahi jaata....

fhir se yeh dil lagaya nahi jaata....
Dard itna mila hai ki bataya nahi jaata,
aansoo ka koiye hisab lagaya nahi jaata.
Barsaat se kya gila apna,
jab kaachi mitti ka ghar tha apna,
Paani main beh jaye to fhir banaya nahi jaata.
Durr tak bas andhera hi andhera hai,
Roshani ka koiye deepak ab jalaya nahi jaata.
Har umeedh tooth chuki hai apni,
ab umeedon ka shehar banaya nahi jaata.
Kisse kahe apna haal-e-dil,
ab kisi se dil lagaya nahi jaata.
Har koiye to ab maira dushman hai,
dost kisi ko apna banaya nahi jaata.
sach kahu fhir se yeh dil lagaya nahi jaata...
[written by romil arora - copyright reserved]
Ishq mein dard hai itne mile ki dil ro padta hai...
Kabhi...

Palke kabhi mere raahon mein bichana.
Kabhi hooton par mera naam likhwana,
Dil par kabhi meri yaad sajana,
Dhadkan kabhi meri raahon mein bichana.
Kabhi apne naam ke saath mera naam jodna,
Kabhi hum-tum ko saath samajhana,
Kabhi mere bina khud ko tanha samajhana.
Kabhi tum mere bare mein sochana... Kabhi...
Thursday, June 19, 2008
Maaf kar dena mujhko....
Monday, June 16, 2008
Tu hi tu yaar…
Yeh taira mehboob hai…

Khamosh naazare mujhe kuch keh rahe hai,
Yeh sundar ka badan kuch keh raha hai,
Yeh saaza hua soola-singar mujhse keh raha hai,
Chum lo isse apne hooton se,
Yeh jaanat ka farishta taira hai,
Yeh taira mehboob hai…..
Chand aur taare mujhse keh rahe hai,
Yeh shabnami chandani mujhse keh rahe hai,
Yeh raatein, yeh haawain mujhse keh rahe hai,
Bhar lo isse apne baahon main,
Yeh jaanat ka farishta taira hai,
Yeh taira mehboob hai…..
Thami hue saansein mujhse keh rahe hai,
Ehsaas jo durr hokar bhi, kareeb sa lag raha hai, mujhse keh raha hai,
Beetata hua intezaar mujhse keh raha hai,
Apna bana lo isse,
Yeh jaanat ka farishta taira hai,
Rab, kaise maanu ki tu hai…
Aapke darbar ke bahar baitha hua ek majboor ko dekhata hu,
Jo aapke paanah main hamesha rehta hai,
Dono pair nahi hai uske,
Fir bhi uski himmat dekhar main hairath main reh jaata hu…
Roz roti ki ladai woh karta hai,
Ek-Ek rupiya ke liye dusare ke samne girgirata hai,
Unke peeche woh bhagta hai,
Tumhara wastha daita hai,
Fhir bhi woh kuch nahi pata hai,
Be-bas sa chehara lekar fhir tumhare darbar ke baahar aakar baith jaata hai.
Rab, kaise maanu ki tu hai…
Ek maa, apni chaaati se lipate baache ko apne ek haat se pakade rehti hai aur
dusare haaton main maang ka katora liye rehti hai,
Tere darbar mein aaye logon ke saamne khali katora badate hai,
Bhookhe baache ka wasta daite hai,
Tumhara wastha bhi daiti hai,
Logon ke tiraskar ke sewa woh kuch nahi pati hai,
Be-bas sa chehara lekar fhir tumhare darbar ke baahar aakar khadi ho jaati hai.
Rab, kaise maanu ki tu hai...
Ek chota sa masoom sa baacha,
Barsaaton mein, garmiyoon mein, sardiyon mein
Roz taire darbar ke samne khada rehta hai,
Aane-jaane wale sab taire bandhon se mangata rehta hai,
Uske bachpan ki mazboori kisi ko dekhaiye nahi daite hai,
Kitna mayush hokar woh reh jaata hai.
Rab, kaise maanu ki tu hai…
Tu hi bata rabb kaise maanu ki tu hai,
Rab, kaise maanu ki tu hai…
Fir bhi main vishwas ka deepak hamesha jalata rehta hu,
Taire darbar main roz sar jhuta hu,
Kabhi to tu nazare karam unpar bhi karega,
Bas yahi dilasha roz taire darbar se lekar chala aata hu…



