Saturday, May 31, 2008

"AB SAAYA BANNA CHAH RAHA HU"

"AB SAAYA BANNA CHAH RAHA HU"

kisise na kar itne mohabbat zindagi bhar rona padega.
zakhm ho jayenge dil main,
kantoon par sona padega.

behwafa duniya main saacha pyaar kaha milata,
jo milta hai saacha pyar woh mazboori main bandha hota hai.

taira apna hu isliye tujhe samjha raha hu,
hu main bhi bahut tanha,
isliye kuch gam taira saath batana chah raha hu.

yeh mat soch ki main kaun hu.
de haaton main haath maire, hu taira apna,
AB SAAYA BANNA CHAH RAHA HU.
[written by romil arora - copyright reserved]

"Is Rishte Ka Kya Naam Du"

"Is Rishte Ka Kya Naam Du"


Jab zamane mujhse puchata hai kya lagti thi taire woh jo rabb ke ghar chali gaye.

Kyon rota hai uski yaadon main,

Kyon gumsum rehta hai,

Kyon ukhad jaata hai baaton main,

kyon rabb se dushmani karta hai....


Is rishte ka kya naam du naaz,

na dosti hai yeh,

na mohabbat hai yeh,

na chahat hai yeh,

na dillagi hai yeh.....

bas yeh rishta jo sajda hai ek-dusare ka,

pooja hai ek dusare ke,

dua hai ek dusare ke....

[written by romil arora - copyright reserved]

"tum nahi aayogi......"

"tum nahi aaogi......"

Shaam hote hi sab ghar laut aate hai,
Na jaane tum kab aaogi,

Kab fir wahi pyar ki kahani sunaogi,
Kab tanhai mein mujhe geet sunaogi,
Kab fir apni palko ko meri raahon mein bichaogi,
Kab apni zulfo ko meri baahon mein bichaogi,

Par shayad tum kabhi nahi aaogi,
Na mere sang muskuraogi,
Na jaane fir aise hi kitni shaame tanhai mein beet jayengi,
tum kabhi nahi aaogi,

Main tumhari deed ka payasa hi rahunga,
Sapno mein hamesha apni duniya basaunga,
Shaam hote hi sab ghar laut aate hai,
Magar tum nahi aaogi...

#Romil

"तुम नहीं आओगी"

शाम होते ही सब घर लौट आते हैं, 
ना जाने तुम कब आओगी... 

कब फिर वही प्यार की कहानी सुनाओगी 
कब तन्हाई में मुझे गीत सुनाओगी 
कब फिर अपनी पलकों को मेरी राहों में बिछाओगी 
कब अपनी जुल्फों को मेरी बाहों में बिछाओगी... 

पर शायद तुम कभी नहीं आओगी 
ना मेरे संग मुस्कुराओगे 
न जाने फिर ऐसे ही कितनी शामें तन्हाई में बीत जायेंगी 
तुम कभी नहीं आओगी... 

मैं तुम्हारी दीद का प्यासा ही रहूंगा 
सपनों में हमेशा अपनी दुनिया बसाऊंगा 
शाम होते ही सब घर लौट आते हैं 
मगर तुम नहीं आओगी... 

#रोमिल

“Sangharh ki Anokhi Chetna”

“Sangharh ki Anokhi Chetna”

“Zameendaro, thakhuro, shehareyo aur amiroo ne hazar-hazar dukh diye, aashai aur besahara kiya,
jaanvaro, vraksho (paido) aur humse hamare zameen chen le,
yeh batao ab bhi kaha badla hai hamare shoshan ka tarika,
hamare purkhe gaate rahe, dukh se bhare geet,
aur wo dekhate rahe hamare bahu, bateiyo, bhehano, baccho ka naach-gaana”

“Ab mujhse yeh dard nahi shehan hota hai,
amiroo, zameendaro, thakhuro, shehareyo ka aadmi mujhe roz tang karta hai,
main pareshan hu, aur dard se karah utha hu,
Uff aaise hai maire halat,
maire pass ghar nahi hai, maire bacche bhukhe-piyase hai, unke pass pehane ko kapada nahi hai”

“Ab kyon na main chuppi ko todh du?
kyon na main udashi, maun, nirasha ko chodh du?
kyon na main apne haaton main bandukh utha lu,?
kyon na main in zameendaro, thakhuro, amiroo aur shehareyo ki laashe bhicha du
kyon na?.... kyon na......?”

“Mujhe pata hai, mujhe laash beechane ke baad bhi khushi nahi milenge,
magar humko bhi azadi chahiye,
hamare baccho ko bhi pehanne ke liye kapade, khelane ke liye khilone, khane ko khana, peene ko pani, padane ko kitabe, school chahiye, dawa ke liye aaspatal chahiye,
Kya hum insaan nahi hai?”

“Main aaise nahi jeena chahata hu, roz-roz nahi marna chahata hu,
magar yeh zameendaro, thakhuro amiroo aur shehareyo mujhe jeene nahi dete hai,
main pareshan ho!
isliye aapne baccho ko khiloone ke jagah bandukh de raha hu,
jeene se pehle unko marne-maarne ka hausala de raha hu,
apne gharwalon ko baachane ki liye unko taiyaar kar raha hu”

“Uttho baccho aur apna insaaf mango,
apne logon ka haq mango,
baghwan ke barose ab na raho,
uttho aur apna insaaf mango,
apna haath uthao beekh maangane ke liye nahi haq cheenane ke liye”

“Saayad aaj ka tumhara balidaan kal ki peedhe ke liye vardan laye,
Isliye main yeh sangharsh ki jwala tumhare aandar jala raha hu”


Isliye main yeh sangharsh ki jwala tumhare aandar jala raha hu!
[written by romil arora - copyright reserved]

“Widhwa ka dard”

"widhwa ka dard”

Bahut rang dekhe maine, bahut rang maine chahe,
phoolon se lekar, titliyoon ke rang main, maine pankh failaiye,
aasman ke neelen rang main, khub khaile aur mushkuraye,
saawon ke din main rang-birange rangon se gudia ko saajaye,

Par yeh rang mujhe nahi bhata hai,
baar-baar is rang main khud ko dekh kar, dil maira rokar gaata hai,

Utar du is rang ko, jise shanti ka pratik kaha jata hai,
par main to chulbuli hoon,
hamesha mushkurana chahate ho,
taraf-taraf ke rangon main sajana chahte hu,
yeh rang mujh par nahi bhata hai,
maire sunhere aur komal gulabi kaaya ko yeh chupata hai,

Yeh dard maira hai, magar kisise kaha nahi jata hai,
Bas raangon ke sapno ke duniya main jakar,
kuch pal dil ko behlakar,
wapas usse BERANG duniya main aa jaate hu!
[written by romil arora - copyright reserved]

“Sarhad ke abhilasha”


“Sarhad ke abhilasha”

Sarhad kehte hai aaj main bhi khelu Holi,
tirange ke haare, safed aur basanti rang se saajhe maire bhi doli,

dor gagan se aaye pavan suhane,
rang birange phoolon se saajhe maire bhi doli,

himalay ke baadal se mehak uda-uda kar aaye,
safed barf se saajhe maire bhi choli,

bahut saajh chuki main shahedon ke lal khoon se,
vidhawa ke safed saree se,
bhehan ke peele padi mehandi se,
maa ke chekhate kaali aawazo se,
baap ke roote un neele aankhon ke aanshu se,
Ab main is tarah ke Holi nahi khelana chahate hu,


Ab main dosti ke rang main,
bhai chare ke pyaar main,
aapno ke dular main,
aaman ke baazar main,
baadon se samman main,
choton ke aashirwad main,
rangana chahte hu,


Bas yahi maire abhilash hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, May 30, 2008

Maire Shehar Main Koi Aaisa Ho...!!!


Maire Shehar Main Koi Aaisa Ho...!!!

Na Woh Farishta Ho, Na Farishtey Jaisa Ho,
Mujhey Talash Hai Us Ki Jo Maire Jaisa Ho,

Maire Khaluos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hai,
Woh Koi Bhi Ho, Kahin Bhi Ho, Kaisa Bhi Ho,

Jo Khuwab Denay Ko Taiyaar Ho Meri Aankhoon Ko,
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa Ho,

Meri Khatir Marney Ka Hosla Bhi Rakhta Ho,
Agar Kabhi Rooth Jaun May Us Say To,

Muskra Kay Manayee, Woh Aisa Ho,
Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sakey,

Iradon Mein Woh Apney Chahatoon Jaisa Ho,
Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta Ho,

Ek Aisa HumSafar Jo Samander Ke Tarha Gehrah Ho,
Us Kay Pyar Ke Thandak Ho Meray Liye Aaise,
Key Woh To Bilkul Aasman Kay Chand Jaisa Ho,
Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaoon Main Haya Rakhta Ho,

Umar Bhar Sath Chalay Woh Aisa Hooo...!!!
Mujhay Talash Hay Us Ke Jo Meray Jaisa Hooo......
Kaash maire shaher main koi meray jaisa ho!!!
[inspired]

"Maira Maan, Hey Maira Maan"


"Maira Maan, Hey Maira Maan"


maira maan, hey maira maan,

kyon tumhe chahe maire saajan,

baarish ki pehle boonde,

suraj ki pehle kirane,

tumko hi doondhe maire saajan,

maira maan, hey maira maan,

kyon tumhe chahe maire saajan,

ab aa bhi jayo,

na mujhe satao,

chukar hooton ko koiye paigam likh jayo,

yeh taan, yeh badan,

taira hai, aakar chulo maire saajan,

maira maan, hey maira maan,

kyon tumhe chahe maire saajan,

din-raat yeh naina,

taira rastha nihare,

sapno main bhi yeh baahein sirf tujhko pukare,

ab mat satao, na intezaar karwayo,

ab aa bhi jayo maire saajan,

maira maan, hey maira maan,

kyon tumhe chahe maire saajan.....

[written by romil arora - copyright reserved]

"Jo kabhi"

"Jo kabhi"

Dil jalane ke baat wo kya jaane,
Jo kabhi kisi se dil laga na sake,

Zahrelaiye-qaatil kehne wale wo kya jaane,
Jo kabhi kisi ko ek guat pani peela na sake,

Wafa-Bewafai ke baat karne wale wo kya jaane,
Jo kabhi mehboob ke mohabbat par naaz kar na sake,

Galiyoon main mujhe doondhane wale wo kya jaane,
Jo kabhi mehboob ke ghar ka rastha yaad kar na sake,

Sahara dekar ehsaan jatane wala wo kya jaane,
Jo kabhi khud be-sahara hua karte the,

Soya karte hai jo gair ki baahon main saada, wo kya jaane,
Jo kabhi mehboob ki yaadon main jaag na sake,

Aarzoo ke baat karne wale wo kya jaane,
Jo kabhi be-aarzoo jiya karte the,

Yaar ki baat to bade aaram se kehde tumne kehne wale,
Jo kabhi apne dost ki yaari samaj na sake,

“Hitler” ko yakeen delate hue rukshat ho jayunga main is duniya se,
Aur wo hai jo kabhi hum par yakeen kar na sake........

[written by romil arora - copyright reserved]

"Tum Keh Kar Paraya Kar Diya"


"Tum Keh Kar Paraya Kar Diya"

Hum to sanam mohabbat main aapko, apna samaj baithe the,
Aapne humhe, "Tum" keh kar paraya kar diya,

Roshani ki jarurat nahi thi mujhe,
Aandhere se mohabbat ho chuke the mujhe,
Aapne aandhere ko, "Tum" keh kar paraya kar diya,

Aapke intezaar ko hum, kal ka sapna samaj baithe the,
Aapne sapne ko, "Tumhara" keh kar paraya kar diya,

Humne to socha tha, zindagi bhar taira saaya ban kar chalenge,
Aapne saaya ko, "Tumhara" keh kar paraya kar diya,

Ab maine bhi chod diya hai,
aapka saath maire “Hitler”,
Jabse aapne maire jaan ko, "Tumhara" keh kar paraya kar diya!!!
[written by romil arora - copyright reserved]

Ghazal Kya, Maine To Zindagi Tere Naam Kar Di"

"Ghazal Kya, Maine To Zindagi Tere Naam Kar Di"

Ghazal kya, maine to zindagi tere naam kar di, 

Shaam kya, maine to har subah, har raat, tere naam kar di, 

Izhar-e-mohabbat ke intezar mein tum hamesha rahe, Shayad meri nazaron ne mujhse bewafai kar di, 

Ab to leta hu sar-e-aam tera naam, bewafai mein, 

kyonki dushmani mein tune apni saari hadein paar kar di, 

Ab to tujhse juda rehne ki dua mein roz mangata hoon, 

kyonki dosti mein tune, meri har khushi tamam kar di, 

Sochata hoon, darta hoon aksar is ehsaas se aaye meri “hitler”,

ameeron ki mehfilon ne kyon garibon ke liye raat kar di, 

Ab na barbaad ho, koi aashiq mohabbat mein, 

isliye maine husn ki tareef karna band kar di, 

Ghazal kya, maine to zindagi tere naam kar di!!!

[written by romil arora - copyright reserved]

Aaj Hawaa Ka Jhokha

"Aaj Hawaa Ka Jhokha"

Aaj hawaa ka jhokha jaise kuch keh raha hai,
warna yuhi deewar par latki hui tumhari tasveer na heeli hoti...

barish ki boondein, jaise koi sandesha,
in band khidakiyon (window) par likh rahi ho, 

aaj pata nahi kyon, 
hamare ghar par baithkar kauwa (crow), kau-kau kar raha hai,

barso se band tha jo kamra (room) hamara, 
na jaane kyon aaj us kamre mein jaane ko mera dil kar raha hai,

woh kursi tumhari, jo dhool se bhari hui hai,
woh deeware jo chatak kar lakeerein bana chuki hai,
dhoop jo baar-baar toote hue band kamre se aandar aana chah rahi hai,

aaj pata nahi kyon hawaaon ka jhokha jaise mujhse kuch reh raha hai...

na jaane kyon aaj meri nigaah goan ke us door chaurahe par tak-taki lagaye baithi hai,

na jaane kyon aaj martabano mein rakkhe hue aachar se mehak mujhe aa rahi hai,

na jaane kyon aaj tumhari aawaz door gagan se, 
mere kaano mein sunai de rahi hai,

aaj pata nahi kyon hawaaon ka jhokha jaise mujhse kuch kehna cha raha hai,
warna tumhari deewar par latki hui tasveer na heeli hoti...
aaj pata nahi kyon...
[written by romil arora - copyright reserved]

Khushi Ko Gum Ka Libaas Pehna Sakta Hu

"Khushi Ko Gum Ka Libaaj Pehna Sakta Hu"

"Na main tere liye Taj Mahal bana sakta hu, 
Na main tere liye Daulat ka Mehal bana sakta hu, 
Jaan bhi nahi de sakta main Mohabbat mein tere liye, 
Kyonki main apni mohabbat ka mazak nahi bana sakta hu, 
Bas sazaa yahi hogi meri, Tadapta rahu teri mohabbat mein,
Main apni har khushi ko gum ka libaas pehna sakta hu..."
[written by romil arora - copyright reserved]

kuch dil se alfaaz....

kuch dil se alfaaz....

"Agar Khuda bana de koi mujhe ek pal ke liye,
main apne kismat main likh lu tujhe har janam ke liye"

"Maire shaher main Khuda kare koi mohabbat main badnaam ho,
Sab ki juban par bas maira hi naam ho"

"Dillagi na samajhana maire mohabbat ko,
kabhi maire nazaro main khud ko to ek nazar dekho,
husn ke deewane bahut honge taire is shehar main,
kabhi kisi ke dil ko parakh ke to dekho"

"Zindagi mujhe aur dard mat dena,
Jo dekha hai hamare aankhon ne sapna wo sapna todh mat dena,
Kabhi zindagi chahiye to mujhse maang lena aaye Khuda,
Par maire sanam ko kuch hone mat dena"
[written by romil arora - copyright reserved]

kuch dil se.....

kuch dil se.....

Sitaro ki bhid se churaya hai aapko,
Dil se apna banaya hai aapko,
Iss dil ko tutne na dena kabhi,
Kyonki is dil mein chupaya hai aapko.


Tumhe mujhse yeh maut kya juda kar paayege,
maire mohabbat main wo kashish hai
ki tumhe rabb ke daar se bhi vapas khech layege.


Phir na karna tum mujhko yaad,
kyonki jiya nahi jaata tumse judda hone ke baad,
ab nahi pasand mujhko tanhaiya,
kyonki aankhon main aache nahi lagte aansoo, hooton par khushi ke baad.
[written by romil arora - copyright reserved]

mera kya kasoor...

mera kya kasoor...

tasveer ka khel hota to kabhi ki tasveer bhej deta tumko,
khel taqdeer ka hai to isme mera kya kasoor,

mera chehra tumko bas do pal ki khushi de payega,
na tumhe main de saku daulat to mera kya kasoor,

sapno mein ghar to bahut banaye hai maine,
par tumko ek ghar na de saku to mera kya kasoor,

badan par keval Suti Saree aachi nahi lagti,
na tumhe main de saku heere-jewarahat to mer
a kya kasoor,

gum to tumhare baatne ka vaada main tumse kar sakta hu,
na tumhe main de saku khushi to mera kya kasoor,

tumhe paane ke liye to sab jatan karna chahta hu main,
par meri kismat mera saath na de to mera kya kasoor.....
mera kya kasoor....

#Romil

मेरा क्या कसूर 
तस्वीर का खेल होता तो कभी की तस्वीर भेज देता तुमको
खेल तकदीर का है तो उसमें मेरा क्या कसूर 

मेरा चेहरा तुमको बस दो पल की खुशी दे पाएगा 
ना तुम्हें मैं दे सकूं दौलत तो मेरा क्या कसूर 

सपनों में घर तो बहुत बनाए हैं मैंने 
पर तुमको एक घर ना दे सकूँ तो मेरा क्या कसू

बदन पर केवल सूती साड़ी अच्छी नहीं लगती है 
ना तुम्हें मैं दे सकूं हीरे-जवारहात तो मेरा क्या कसूर 

ग़म तो तुम्हारे बांटने का वादा मैं तुमसे कर सकता हूं 
ना तुम्हें मैं दे सकूं खुशी तो मेरा क्या कसूर 

तुम्हें पाने के लिए तो सब जतन करना चाहता हूं मैं 
पर मेरी किस्मत मेरा साथ ना दे तो मेरा क्या कसूर

मेरा क्या कसूर

#रोमिल

"Intezaar Taira Wo Karte Hai, Jinhe Tanhai Pasand Hai"

"Intezaar Taira Wo Karte Hai, Jinhe Tanhai Pasand Hai"

"Intezaar taira wo karte hai, jinhe tanhai pasand hai,
ab to hum, har pal mehfiloon main jiya karte hai,

Dil par zakhm khane ka mujhe shok nahi,
hum to ab hasino ko mausam ki tarah badala karte hai,

Chehara par saajaye hue hai maine makauthe bahut,
ab to hum roz hi apna chehara badala karte hai,

Yaadon ke jharoke main mujhe sone ka shok nahi,
Ab to hum, husn ke shehar main raha karte hai,

Aah to bas nikal jate hai kise husn wale ko dekh kar,
hasinoo ke aadayon par ab tabiyaat maire machala karte hai,

Khushi chehare par maire hamesha chahe rehte hai,
Zakhm se maire mulaqat ab nahi hote hai,

Kis raha par jayoo aaye dil maire mujhe bata,
ab maire har raah to husn waloon ke ghar par milte hai,

“Dost”, apne ghar ka pata maine jala diya tha bahut pehle, ab to maire har subah, har raat, husn waloon ke ghar par guzarate hai!!!

[written by romil arora - copyright reserved]

"Kaash, Aap Jaisa Koi Mere Shehar Mein Hota"


"Kaash, Aap Jaisa Koi Mere Shehar Mein Hota"

Mere shehar ka mausam itna berukha na hota,
Kaash, aap jaisa koi mere shehar mein hota,

Mujhe sapno se mohabbat nahi hoti,
Kaash, aap jaiso ka agar dedaar hota,

Husn wale to bahut hai mere shehar mein,
Kaash, aap jaisa koi dil wala hota,

Kisi ko nazre utha kar ab mein dekh nahi sakta, Khuda kasam,
Kaash, meri nazron mein aapka khawab nahi hota,

Mere shehar ka mausam itna berukha nahi hota,
Kaash, aap jaisa koi mere shehar mein hota!!!
[Inspired... written by romil arora - copyright reserved]

Mujhe aaj bhi yaad hai.....


Mujhe aaj bhi yaad hai.....

Woh Sardi Ki Raatein,
Woh Sulagte Do Badan,
Mujhe aaj bhi yaad hai....

Woh Hooton Ka Kapkapana,
Woh Baahon Mein Ek-Dusare Ke Lipat Jaana,
Mujhe aaj bhi yaad hai....

Woh Phoolon Se Saaza Bistar,
Woh Mehakta Jism,
Mujhe aaj bhi yaad hai.....

Woh Mera Pyar Bhari Nazar Se,
Tere Husn-e-Noor ko dekhna,
Woh Tera, Mere Jism-o-Jaan Ko Pyar Karna.
Mujhe aaj bhi yaad hai.....

Woh Raat, Teri Har Baat,
Har Pal Pyar Ki Kahani,
Mujhe aaj bhi yaad hai.....
Mujhe aaj bhi yaad hai.....
[written by romil arora - copyright reserved]

"Us Raat"

"Us Raat"

Us Raat Moom Ki Tarha Pighaltey Huye Dekha Tha Maine Usko Apni Baahon Mein,
Tadapte, Simatate, Lipatate Huye Dekha Tha Maine Usko Apni Baahon Mein.

Jism Jaise Pigal Rahe The Chandani Raaton Mein,
Aur Hoonth Mil Rahe The Jaise Jalti Hui Barsaton Mein,
Keh Rahi Thi Woh Bas Humko Pyar Karo,
Lekar Apni Baahon Mein Aur Beqarar Karo,
Yeh Jism Ghayal Hai Magar Yeh Rooh Abhi Bhi Hai Pyasi,
Lekar Baahon Mein Jawaan Jism Ko, Meri Rooh Ko Bhi Beqarar Karo.

Us Raat Moom Ki Tarha Pighaltey Huye Dekha Tha Maine Usko Apni Baahon Mein,
Tadapte, Simatate, Lipatate Huye Dekha Tha Maine Usko Apni Baahon Main.
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, May 29, 2008

Khuda Kare Kuch Aisi Fiza Ho Jaye

"Khuda Kare Kuch Aisi Fiza Ho Jaye"

"Khuda kare kuch aisi fiza ho jaye, ki tujhe mujhse mohabbat ho jaye, 

noor sada rahe tere chehre par, ki tujhe roshani ki chahat ho jaye, 

Khuda kare kuch aisi fiza ho jaye...

 chamakta rahe taara, sada tere maathe par, ki andhere ko bhi roshani ki aas ho jaye,

Khuda kare kuch aisi fiza ho jaye... 

 muskurahat, chehare par tere, subah le kar aaye, ki tujhe muskurane ki aadat ho jaye,

Khuda kare kuch aisi fiza ho jaye...

Na din ko chain, na raat ko tujhe aaram aaye, ki khuda ke baad sirf tere labho par mera hi naam aaye, 

Khuda kare kuch aisi fiza ho jaye... 

 Khuda kare kuch aisi fiza ho jaye, ki tujhe mujhse mohabbat ho jaye"

[written by romil arora - copyright reserved]

"Na Mil Sake Is Jahan Mein To Kya"


"Na Mil Sake Is Jahan Mein To Kya"

"Na mil sake is jahan mein to kya,
Us jahan mein tujhse mulaqat hogi.

Na ho saki tu meri is jahan mein to kya,
Us jahan mein tu meri hogi.

Rab ke saamne tujhe apna banana hai mujhe,
Na mil sake yeh jism to kya,
Us jahan mein rooh se rooh ki mohabbat hogi"
[written by romil arora - copyright reserved]

BASURIYA DEDE MOHE!

BASURIYA DEDE MOHE!

(Kahna) 
Kaahe sataye, Kaahe ko rulaye,
Dede meri basuriya,
Radha, Kahe chupaye!

Basuri ke bin to main hu re aadhura,
Kya beegade meri basuriya, teri Radha
Mohe tu bataye!

(Radha) 
Kaise main de du, basuri tujhko re Kahna,
Yeh basuri to meri saaut si kehlaye!

Teri basuri ki dhun mein,
main shud-bhud bhul jayun,
chhodkar sab kaam-kaaz,
tere pass kheechi chali aau!

(Kahna)
Meri basuri to keval prem ki dhun sunaye,
kisi ko bhi tanik si chot na pahuchaye,
meri gaayein (cow) to bhi basuri sun – sun, dhumak - dhumak chali aaye,
Dede meri basuriya,
Radha, Kaahe chupaye!

(Radha)
Kaisi yeh sautan meri tujhe, mujhse bhi jyada bhaye,
nahi dungi basuri tujhe Kahna,
tohe diyo bataye.

(Kahna) 
Kaahe sataye, Kaahe ko rulaye,
Dede meri basuriya,
Radha, Kaahe chupaye!
[written by romil arora - copyright reserved]

Oh Radhey, Oh Radhey, Kaise Utarunga Tera Udhar



"Oh Radhey, Oh Radhey, Kaise Utarunga Tera Udhar"


Oh Radhey, Oh Radhey,
Kaise utarunga tera udhar,
Oh Radhey, Oh Radhey,
Oh Radhey, Oh Radhey,
Kaise utarunga tera udhar,

Jag ka main rakhwala bansi bajaiya,
meri bansuri ki dhun par naache saara jag Ta-Ta-Thaiya,

Jag ko main dene wala, par,
bas tera hi ek main udhari,
kaise utarunga tere pyaar ki udhari.

Oh Radhey, Oh Radhey, Radhey, Radhey..........

Kahe kare hai to itna re pyar re,
mere intezar mein hai kyon re beqarar re,
mere hi yaadon ko yaad kar kyon mujhko saataiye re,
kaahe ko mujh par itna prem dekhaiye re,

Oh Radhey, Oh Radhey,
Kaise utarunga tera udhar,

Udhav ko maine bhejha, tohe samjhane,
par tu to itni ziddi,
baat uski na samajh paye,
usko re tune he ulta diya prem samjhaye,

Oh Radhey, Oh Radhey,
Kaise utarunga tera udhar,
Kaise utarunga tera pyar...
written by romil arora - copyright reserved

MAIYA MOHE RADHA DILA DE

"MAIYA MOHE RADHA DILA DE" 

 Maiya mohe Radha dila de, 
dila de re, 
Maiye mohe Radha dila de. 
 
Gori - Gori Radha ke nayan kajrare,
Dekh-Dekh mohe par doore daale, 
Uski re preet mein, main khoya rahu, 
sudh-budh bulkar bas Radha - Radha kahu.... 
Tujhse bas yahi mangu, 
mohe Radha dila de, 
Ohhhhhh Maiya 
mohe Radha dila de, 
dila de re.....
[written by romil arora - copyright reserved]

"Batao AMMI"

"Batao AMMI"

AMMI, Allah ke daar par main bhi sar jhukate hu,
uske bandagi main, main bhi char-chand lagati hu,
uske rehmat paane ke liye main bhi Roza rakhate hu,


ABBA, ki tabiyat kharab hone par main hi unko daava pilate hu,
Taira bhi to main choke (kitchen) main haath batate hu,


Har kamzor, majboor ko sahara main daite hu,
Allah ke bandagi ka aur Beti ka farz bakhubhi nibhate hu,


fhir tu bata AMMI!!!


Mujhe kyon tum ladkoon se kam samajhate ho?


Batao AMMI, mujhe kyon tum ladkoon se kam samajhate ho!

[written by romil arora - copyright reserved]

"kuch dil se....."

"kuch dil se....."

Tere bare mein kyon sochata hu,
yeh to mujhe bhi nahi pata,
gar kabhi Khuda mila to usse jarur puchunga!


Surat par qurbaan hone walon mein hum nahi,
Isliye shayad mohabbat par yakeen rakhate hai,
kabhi fursat ho to dil laga lena,
hum bhi sanam dil rakhate hai!


Tumse mohabbat na ki hoti,
To shayad main bhi muskuraya hota,
Andhere mujhe na pasand hote,
Gar tumne roshani ko gale lagaya hota!

Ret mein rehne walon ko paani ki aas hoti hai,
Zindagi se haarne walon ko dua ki aas hoti hai,
Jab udaas ho mann tera, mere pass aa jana,
Kyonki har diljale ko kisi ke sahara ki aas hote hai!


Mera tujh par haq hai us Khuda se jyada,
Uski ibadat karta hu, isliye main kuch jyada,
Woh Khuda bhi tujhe kaise mujhse cheen sakta hai,
Kyonki us Khuda se teri zarurat hai mujhe jyada!


Dil ke darwaze bandh the to dastak di,
tum aa gaye leke chahat ki har khushi,
dil aaj se hamara ghar hua hai tumhara,
woh hua pehle jo na hua!

Haqiqat hai ya afsana, kuchh nahi jaante hum…
HITLER pe lo aa ruka hai is dil ka yeh safar,
manzil thi saamne par hum the bekhabar,
thi HITLER ke dil pe kabse yeh nazar,
khamosh mohobbat aakhir kar aayi aasar,
HUM ko to kab se yeh ikraar hai...
HUM ko to SIRF HITLER SE PYAAR HAI!


Haan........ is ghadi ka intezaar tha humko,
aao hum de ek dua zara TUMKO,
"Ki Rakhe Door Khuda Tumse Duniya Ke Har Gham Ko"
HUM Ko To Kabse Yeh Ikraar Hai...
Ki Sirf Tumse Hi Pyaar Hai...
Ki Sirf HITLER se Pyaar Hai...!


[written by romil arora - copyright reserved]

"Taiye Kar Tujhe Kya Karna Hai"

"Taiye Kar Tujhe Kya Karna Hai"


Taiye kar tujhe kya karna hai,
zamane ke saath chalna hai ya zamane ko apne saath chalana hai,
duniya ki berukhi se tujhe kyon darr lagta hai,
jab khuda ke sajde main sar apna jhukana hai......
khud main gar sachai hai, to yeh zamana taira hoga,
aaj koi na ho taire sang, par KAL ZAMANA TAIRA HOGA....
Taiye kar tujhe kya karna hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

"Kis Tarah Tadafha Hoon Taire Yaadon Main"

"Kis Tarah Tadafha Hoon Taire Yaadon Main"

kis tarah tadafha hoon taire yaadon main,
maire dostoon se poocho!

maire dard bhare aansoo ki kahani,
maire hasratoon se poocho!

raat bhar jagah hoon taire intezaar main, maire sapno ki barbaadi ki kahani,

maire saayoon se poocho!

kis tarah ghumta fhirta hu taira naam lekar main sadako par,

maire pagal-pan ki dastaan maire shehar walon se poocho!

kis tarah tadafha hoon taire yaadon main,

maire dostoon se poocho!

[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, May 28, 2008

"Sirf maire jaisa ho........Jo bilkul taire jaisa ho"

"Sirf maire jaisa ho........Jo bilkul taire jaisa ho"
"Na wo khuda ho,
Na wo khuda jaisa ho,
Na wo faristha ho,
Na wo faristhe jaisa ho,
Mujhe talash hai us ki jo maire jaisa ho,
Sirf maire jaisa ho
Sirf maire jaisa ho"


Maire shehar main koi aaisa ho,
Jo bilkul taire jaisa ho,
Jiske ehsaas se maira dil dharake,
Wo shaks taire jaisa ho,
Jo baat-baat par mujhe rulaye,
Jo baat-baat par mujhe hasaiye,
Uske aankon main pyaar ka basera ho,
Jo bilkul taire jaisa ho.
[written by romil arora - copyright reserved...inspired]

"TABHI TO YEH ZAMANA BADLEGA"


"TABHI TO YEH ZAMANA BADLEGA"

Tu chup reh kar, jo sehti rahe,
to kya yeh zamana badala hai,
tu bolegi, jab apna moouh kholegi,
tabhi to yeh zamana badlega,

Yeh parda tumhara kaisa hai,
kya yeh mazhab ka hissa hai,
kiska mazhab kaisa parda,
Yeh sab mardo ka kissa hai.

Aawaz utha, kadmo ko mila,
raftar zaara kuch aur baada,
khuda ki kasam, rabb ki kasam,
yeh tana-bana badlega,

TU KHUD KO BADAL,
TU KHUD KO BADAL,
TABHI TO YEH ZAMANA BADLEGA.
[INSPIRED. written by romil arora - copyright reserved]

Beautiful 2 Lines

Beautiful 2 Lines...

"Roz logon ke janaze (maut) dekhta hu, fir bhi mujhe apni maut ka yakeen aata nahi"

"Himmat karne walon ki kabhi haar nahi hoti, lehron se darr kar kabhi naiya paar nahi hoti"

"rab se poochunga, kabhi fursat mile,
deta hai kyon aansoo har khushi ke baad"
[Inspired. written by romil arora - copyright reserved]

"Na Karna Humse Wafa"


"Na Karna Humse Wafa"


Na karna humse wafa, hum bewafai ke kabil bhi nahi,
na dost ban sake kisi ke,
hum kisi ki dushmani ke kabil bhi nahi!


Na samajhana humko dost, taire dil ko dhokha hoga,
main hu us talab ka keechad, haath daloge to tumhari hi haath maila hoga!

Na mushkura sake kabhi, na kisi ko koi khushi di,
main hu us saagar ki tarah, itna pani hokar bhi kisi ki pyas na bhuj saki!

[written by romil arora - copyright reserved]

"RAJ...... Naam Kaha tha Maira"


"RAJ...... Naam Kaha tha Maira"


Naam kaha tha maira,
ek ne “Aae” keh kar bula liya,
fhir kisi ne “Abey” keh diya,
phir ek ki juban se ‘Oye” sunaye diya,
“Suno jara” chaar log aur kehne lage,
Jis ko jee chaha us naam se mujhe bula liya.............

fhir tumse sadak ke nukkar par aachanak mulaqat hue,
“Raj” keh kar tumne mujhe bula liya...............


aaisa laga jaise subah-subah gulab ne aapne panchadi khole ho,
ooosh ki boond jaise thande badan par giri hu,
hawan jaise naadi ke paani ko chu kar likle ho,

bas tumhare diye naam ko lekar main
ek panchi ke tarah khule gagan main pankh fhailaye udata ja raha hu.......

kaha ja raha hu kuch pata nahi,
bas udata ja raha hu.....

DOST, udata hi ja raha huuuu bahut dur,

bahut dur...... bahut dur DOST main udata ja raha hu......
[written by romil arora - copyright reserved..inspired]

Hame To Lagi Lagan, Prabhu Aapko Bulane Ki

"Hame To Lagi Lagan, Prabhu Aapko Bulane Ki"

Hame to lagi lagan, 
prabhu aapko bulane ki, 
daya ho jaye prabhu ek baar aane ki...

tumhi ne to dropadhi ko bachaya tha, 
sabha ke bech uska cheer fir badaya tha, 
dair fir ki nahi thi laaj ko bachane mein,
daya ho jaye prabhu ek baar aane ki...
 
Hame to lagi lagan,
prabhu aapko bulane ki, 
daya ho jaye prabhu ek baar aane ki...

tumhi ne to prehaladh ko bachaya tha, 
sabha ke bech narshingh roop lekar tu aaya tha,
dair fir ki nahi thi jaan ko bachane mein,
daya ho jaye prabhu ek baar aane ki... 

Rab hi ek hi saccha, rab hai.
 ek hi naam, rab se bada na koi duja, 
japle bandhe iska naam, 
bolo waheguru, waheguru, waheguru, satnaam waheguru, satnaam waheguru
[written by romil arora - copyright reserved]

"sayad tujhe....................................."

"sayad tujhe....................................."

"sayad tujhe dosti ke maane main samjha nahi saka,
apne palkon k kinare main basa nahi saka,
girte rahe wo aansu maire taire yaado main,
khwabon mein bhi main unhe mita na saka,
wo sochate rahe ki hame dosti aati nahi,
isliye sayad main kabhi unko bata nahi saka,
sayad tujhe dosti k maane main samjha nahi saka
sayad tujhe....................................."

[written by romil arora - copyright reserved]

"ek din kahi hum tum mile"



"ek din kahi hum tum mile"


ek din kahi hum tum mile, bataiye rahe, kuch na kahe,
na tum kaho, na hum kahe, ankhon main baateiyen hote rahe,
ek din kahi hum tum mile, bataiye rahe, kuch na kahe,
na tum kaho, na hum kahe, ankhon main baateiyen hote rahe,

betaiye na pal, yeh suhana pal, bas raat bhar hum baitaiye rahe,
sapne ho bas aankhon main aapne, keh do wahi jo labh keh na sake,
ek din kahi hum tum mile, bataiye rahe, kuch na kahe,
na tum kaho, na hum kahe, ankhon main baateiyen hote rahe,

kabhi aankhen kahe kuch keh bhi do,
kabhi labh kahe kuch bhi na kaho,
kabhi haaton ko tum chu bhi lo,
kabhi main sharma kar utha bhi jayun,
ek din kahi hum tum mile, bataiye rahe, kuch na kahe,
na tum kaho, na hum kahe, ankhon main baateiyen hote rahe!
[written by romil arora - copyright reserved]

"kuch tum kaho, kuch main sunu"


"kuch tum kaho, kuch main sunu"


"kuch tum kaho, kuch main sunu,
baat keh bhi do jo na main keh saku,
beet jaye na yeh pal, shaima - shaima hai yeh dil,
hooton ko aaj chukar, baat keh bhi do tum,
kuch tum kaho, kuch main sunu.................

bahoon main tere, sunte rahu baat tere,
beet jaye na raat yuhi,
kuch tum kaho, kuch main sunu.................
kehdo jo aaj kehna, jo maire dil ko sunna,
diar na tum karo bas, aaj keh bhi do tum,
kuch tum kaho, kuch main sunu................."

[written by romil arora - copyright reserved]

"Mujhe Shikayat Us Karigar Se Hai"


"Mujhe Shikayat Us Karigar Se Hai"
Mehalo mein rehne walo, mujhe shikayat tumse nahi ki tum mehalo mein rehte ho,
mujhe shikayat us karigar se hai, jisne yeh mehal banaye!


Mohabbat karne walo, mujhe shikayat tumse nahi ki tumne mohabbat mein tajmahal banaye,
mujhe shikayat us karigar se hai, jisne yeh taj mahal banaye!


Pooja ki liye mandir, mazhid, gurudwara banne walo, mujhe shikayat tumse nahi ki tumne pooja ki liye mandir, mazhid, gurudwara banaye,
mujhe shikayat us karigar se hai, jisne yeh mandir, mazhid, gurudwara banaye!


Taqdeer walo, mujhe shikayat tumse nahi ki tumhari taqdeer aachi hai,
mujhe shikayat us karigar se hai, jisne yeh taqdeer banai!
mujhe shikayat us karigar se hai......................................
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, May 27, 2008

"Gum Kya Hota Hai"

"Gum Kya Hota Hai"

Mohabbat ka gum to bahut chota hota hai,
kai mohabbat karne wale mil bhi jate hai,
Us baap se gum pucho, jiska jawan beta sarhad par mar jata hai,
jiske arthi ko koi kandhe nahi mil pata,
Us vidwa se gum pucho,
jo apne pati ki laash ko dekh nahi pate,
Us maa se gum pucho,
jo apne jawan bacche ki mrithu ki kharab sun nahi pate,
Us chote bacche se pucho gum kya hai,
Jo abhi mushkura naha pata,
Us bhehan se pucho gum kya hota hai,
jiske raksha karne wala ab koi nahi hota,
Mohabbat ka gum to bahut chota hota hai,
kai mohabbat karne wale mil bhi jate hai"
"Dil ek tootha tumhara to tum sabko bewafa samaj baithe,
zaara nazar utha ke dekho, har kisi ka dil thuthe hua hai"
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

"Agar main khuda hoota........"


"Agar main khuda hoota........"

"Dekho zara taqdeer banane wale tune kya insaaf kiya,
Kisi ke kismat main khushiya to kisi to gum diya"

"Agar main khuda hoota........
Agar main khuda hoota to sabki taqdeer ek banata,
kisi ko bhi bebas, lachar na banata,
har daal main khushi hote, gum ka ek bhi paudha na lagata,
Agar main khuda hoota.........
kisi ki bhi ankh main aanshu na hote,
sabke hooton main khushi lata,
na koi hota raja, na main praja banata,
Agar main khuda hoota.........

Har baache ko maa ka pyar milta, baap ka saath wo pata,
Jaati-paati ka khel mitata, sabke ek jaati banata,
Agar main khuda hoota.........

Na sarhad ki deewar hote, na main koi desh banata,
Na koi daaku hota aur na main koi seepahi banata,
Agar main khuda hoota.........

Har baccha muskuraha raha hota, sabke dil nekh banata,
Agar main khuda hoota to sabki taqdeer ek banata,
kisi ko bhi bebas, lachar na banata.
Agar main khuda hoota........."
[written by romil arora - copyright reserved]

"Taira Sajda"


"Taira Sajda"
Na Daulat Se,
Na Shaurat Se,
Na Duniya Se,
Na Ghar Aabad Karne se,
Na Mandir, Na Masjid, Na Gurudware Jaane Se,
Tasalli Maire Dil Ko Milte Hai Taira Sajda Karne Se.
Taira Sajda Karne Se Dost!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tanha hu main

"tanha hu main"

Dost sach bahut tanha hu main, Laut aao aaj fir bahut tanha hu main, 
Tumne kaha tha DOSTI nahi marti, 
Isi baat par aaj tak fir zinda hu main, 
 Meri yaadon mein tu shamil hai sajde jaisa, 
Rab se pehle tera naam leta hu main, 
Kab tak dardon ko main sehta rahunga, 
Khud se teri baatein karta rahunga, 
 Us rab ke ghar ko chhodkar mere pass aa jao, 
Dost sach bahut tanha hu main, Laut aao aaj fir bahut tanha hu main...
[written by romil arora - copyright reserved]

"Dost tum kahan ho"



"Dost tum kahan ho"

Kuch rishte aise hote hai,
Jo kabhi bhulaye nahi jaate hai...
Na koi bandhan mein bandhe hote hai,
Na koi bandhan unko baand pata hai...
Har khushi mein,
Har gum mein,
Hamesha yaad aa jaate hai...
Dost tum kahan ho.......


Kyun rulaati ho mujhe?
Kyun bhool jaati ho mujhe?
Tere hi sahare to jee raha hun mein.
To phir kyun akela chhod kar chali gai?
Har baat ko chupana ataa tha tumko,
Mein ruthu to manana ataa tha tumko.
Mujhe samjhana aata tha tumko.
Dost tum kahan ho........

Woh Rab mera dushman hai,
Meri khushi ko dekh na saka kabhi,
Tujhe apne pass bula kar,
Mujhe akela chhod diya yahi,
Bachpan ki sab baatein mujhe yaad aati hai,
tumhare saath beetein har pal yaad aate hai,
har aansoo ki kahani,
har muskaan ki kahani mujhe yaad aati hai.
Ya keh do mujhe bhi marr jaane ko,
Ya mera saath dene aa jayo,
Beech raste mein kyun is tarah akela chhod diya?
kaho dost...kuch to kaho.....kuch to kaho dost......
Dost tum kahan ho........

kuch to batlaane aa jayo.
kya mein jeene ke bahane roz yuhi marta rahunga.
kuch to samjhane aa jayo...
Dost tum kahan ho.......

NaaZ tum kahan ho.......
NaaZ tum kahan ho.......
[written by romil arora - copyright reserved]